Ramzaan vo mubarak mahina
hai ke
✨Isme allah ne Quraan ko nazil kiya
✨Isme jannath ke darwaze khol diye jate hai
✨Isme jahannam ke darwaze band kar diye jate hai
✨Isme shayateen ko jakad liya jata hai
✨Isme mahine me roza rakhne se gunaah maaf kar diye jate hai
✨Isi mahine me lailatul qadr hai jisme ki hoi ibaadat hazar mahine ki ibaadat se behtar hai
✨Is mahine me ki hoi har ibaadat ka sawab aam dino ki ibaadat se dogna diya jata hai
Jabke ye mahina itna mubarak mahina hai tho is mubarak mahina ka isteqbal hum kaise karen…?
Aaj dekha jata hai ke log social media per message forward karte hai ke jisne Ramzan ki khush khabri sabse pehle di ospe jannath wajib ho jati hai jahannam haram ho jati ya oske gunah maaf ho jate hai…
Jabke hamare nabi ya kisi bhi sahaba se iska koi saboot nahi milta
Balke hame karna ye hai ham apne aap ko acchi tarah is baath ke liye tayar karlen ke ham is mubarak mahina ka namaaz se quraan ki tilawat se roze se taraweeh se qiyamul lail se sadqa o khairaat se is mahina ka bhar poor faida othayenge in sha allah
Nake khane peene aur ghomne per zyada tawagguh denge
Abhi se aisi waisi cheezen khane se apne aap ko roke rakhen take tabiyat kharab na ho aur ramzaan ki ibaadathen chot jaye
Allah taala se dua hai ke allah hame ramzaan ki ehmiyat ko samajhte hue isme zyada se zyada ibadat karne ki tawfeeq ata farmaye. Aameen