Mayyat ko sawaab dene wale aamaal

har insaan janta hai ke ye duniya ki zindagi chand din ki hai aur oske baad sab ko marna hai. chahe vo ameer ho ya gareeb kaala ho ya goora bodha ho ya baccha. Har insaan ko maut ka maza chakhna hai. Yani ke maut ek ghont hai jise har insaan ko peena hai aur qabr ek darwaza hai jisse har kisi ko dakhil hona hai

Aur jab maut aati hai tho isnaan ko ek lamhe ki bhi mohallat nahi deti agar insaan uss waqt koi neki karna chahe tho ose mohallat nahi di jati aur agar koi ibadat karna chahe tho ose mohallat nahi di jati agar tauba aur istegfar karna chahe tho ose mohallat nahi di jati

Aur is duniya ki zindagi me hamaare ghar vale aur hamare rishtedaar hamari kitni bhi izzat karte ho kitna bhi ham se pyar karte ho sab hame qabr me dafnane ke baad chod kar chale jate hai koi hamare saath nahi hota lekin ek cheez hai jo hamare saath qabr me aati hai vo hai hamare “AAMAAL” Jo hamare saath qabr me aate hai

✳️Hazrat Anas bin maalik raziallahu anhu farmate hai ke rasool allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya mayyat ke saath teen cheezen jati hai aur do wapis aa jati hai aur ek reh jati hai mayyat ke saath oske ghar wale oska maal aur aamaal jate hai aur oske ghar wale aur oska maal wapis aa jate hai aur oske aamaal oske saath reh jate hai (Bukhari : 6514)

aksar log duniya ki zindagi me apne aamaal ki fikr nahi karte aur gunah pe gunah karte rehte hai aur jab maut aati hai tho har insaan chahata hai ke ose ek mohallat di jaye aur vo nek aamaal karle khuda ki ibaadat karle lekin uss waqt ose koi muhallat nahi di jati aur oske marte hi oske aamaal ke sawaab ka silsila bhi qatam ho jata hai

lekin kuch aamaal aise hai jinka sawaab momin ko marne ke baad bhi milta rehta hai aur jin aamaal se momin ko marne ke baad bhi sawaab milta hai osme do tarah ke aamaal hai…

1.mayyat ke khud ke aamaal jisse ose marne ke baad bhi sawaab milta hai

2.dosron ke aamaal jis ke zariye mayyat ko sawab milta hai

1.mayyat ke khud ke aamaal jis se mayyat ko sawaab milta rehta hai vo ye hai

✴️. Sadqa…..

✳️Abu huraira raziallahu anhu farmate hai ke rasool allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jab momin mar jata hai tho oske sawaab ka silsila khatm ho jata hai siwaye teen cheezon ke sadqa e jariya jo osne kiya ho, ilm e nafaye jo osne sikhaya ho, nek aulaad jo oske liye dua kare(Bukhari : 1388)

✴️Quraan wirasath me chod jaye

✴️Masjid banwaye

✴️Musafiron ke liye musafir khana banaye

✴️Neher jari karaye

✳️Abu huraira raziallahu anhu farmate hai ke rasool allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya momin ko marne ke baad oske aamaal me se jin aamaal ka sawaab milta hai vo hai ilm e nafaye jo osne sikhaya aur phailaya nek aulaad jo vo chod gaya quraan wirasath me chod gaya masjid banai musaafiron ke liye musafir khana banaya ya neher jari karai aur apni zindagi aur sehet ki halath me sadqa kiya ho (Ibne maja : 242)

✴️darakht ya pauda lagana

✳️Hazrat anas bin malik razi allahu anhu farmate hai ke rasool allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya agar koi musalmaan koi darakht ya pauda lagaye aur osse insaan aur janwar faida othate rahe tho ye oske liye sadqa e jariya hai (Bukhari : 6012)

2.Dosron ke aamaal jis ke zariye mayyat ko sawaab milta hai vo ye hai

✴️Namaz e janaza ada karna

✳️Abdullaah bin abbaas razi allahu anhu ke ek bete ka inteqal ho gaya tho onho ne kareeb se kaha dekho kitne log jama hue hai kareeb ne kaha mai gaya aur dekho log jama hai phir onko khabar kardi abdullah bin abbaas ne kaha tumhare andaze se vo chalees honge? Maine kaha haan onho ne kaha janaze ki tayari karo kyunke maine rasool allah sallallahu alaihi wasallam se suna ke jiski janaze ki namaaz chalees aise admi pade jo allah ke saath kisi ko shareek na karte ho tho allah oske haq onki sifarish qubool karta hai (Muslim : 2199)

✴️Aulaad ka sadqa

✳️hazrat ayesha razi allahu anha farmati hai ke ek admi ne rasool sallallahu alaihi wasallam se sawal kiya ke meri maa ka achanak inteqal ho gaya aur mai janta hun ke agar onhe baath karne ka mauqa milta tho vo zarur kuch na kuch sadqa karti agar mai onki taraf se sadqa karun kya oska sawaab meri maa ko milega rasool allah sallallahu alaihi wasallam ne kaha haan(Bukhari : 1388)

✴️Qabr ke paas dua karna

✳️ Hazrat ayesha razi allahu anha farmati hai ke jab rasool allah sallallahu alaihi wasallam ki bari mere paas hoti tho aap raath ke akhri hisse me baqi(qabrastan) ki taraf jate aur kehte السلام عليكم دار قوم مؤمنين واتاكم ما توعدون غدا مؤجلون وانا ان شاء الله بكم لاحقون اللهم اغفر لاهل بقيع الغرقد Assalamu alaikum dara qaumi momineena wa aatakum ma tuaduna gadan muajjilona inna in sha allahu bikum lahikhuna allahumma agfir li ahle baqiil garqad ( salamathi ho tum per momino ke gharon aa gaya hai tum per jiska tumse wada kiya gaya tha kal paoge agar allah ne chaha tho tumse mulaqat hogi aye allah baqi valon ko bakhsh de (Muslim : 2255)

✴️Mayyat ki janib se istegfar karna

✳️Usmaan bin affan raziallahu anhu farmate hai ke rasool allah sallallah alaihi wasallam jab mayyat ko dafna kar farig ho jate tho qabar ke paas khade hote aur kehte apne bhai ke liye magfirat ki aur isteqamat ki dua karo beshak ab osse sawal kiya jayega ( Abu dawood : 3221)

✴️Mayyat ka qarz ada karna

✳️Abu huraira raziallahu anhu farmate hai ke rasool allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya momin ki roh jannath me jane se rokli jati hai jab tak ke oska qarz ada na kiya jaye (Tirmizi : 1085)

✴️Mayyat ki janib se hajj ya umrah karna

Abdullah bin abbaas farmate hai ke ek aurat rasool allah sallallahu alaihi wasallam ke paas aai aur kaha meri maa ne hajj ki nazar mani thi aur vo hajj ada na kar saki aur onka inteqal ho gaya kya mai onki taraf se hajj kar sakti hun rasool allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya haan tu osni janib se hajj kar kya teri maa per koi qarz hota tho kya tum ose ada nahi karti allah zyada haqdar hai ke oska qarz ada kiya jaye (Bukhari : 1856)

ye thy vo aamaal jinke zariye mayyat ko marne ke baad bhi sawaab milta rehta hai

Allah se dua hai ke allah hamare marhoomo ki magfirat farmaye aur hame onke liye sadqa jariya banaye. Aameen

1 thought on “Mayyat ko sawaab dene wale aamaal”

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *