
Ham mein kai log aise hote hai ke vo log namazon ki pabandi me din ke chaar namazon ki pabandi tho kar lete hai lekin Fajr ki namaz aksar logon se choot jati hai aur iski wajah ye hai ke aksar logon ki fajr ke namaz ki asal jo ahmiyat aur fazilath hai vo logon ko malom nahi hai… Agar logon ko fajr ki asal ahmiyat maloom ho jaye tho ye hamare narm aur garam bistar hame fajr ki namaz se nahi rook sakenge
Vaise tho din ke mukammal panch namazen bhi apni apni alag ahmiyat aur fazilath ke hamil hai lekin fajr ki ahmiyat aur fazilath ke mutaliq kai saari ahadees aur quran me khaas zikr aaya hai
Agar ham fajr ki ahmiyat ki baath karen tho fajr ki farz rakathon se pehle fajr ki sunnathon ki ahmiyat ke talluq se baath karenge jisse aap ko andaza lag jayega ki fajr ki kitni ahmiyat aur fazilath hai “Hazrath bilal razi allahu anhu farmate hai ki vo rasool allah salla allahu alaihi wasallam ko namaze fajr ki khabar dene ke liye aaye tho hazrath ayesha razi allahu anha ne onko kisi baath me mashgool kar liya yahan tak ke subah khoob safed ho gai phir bilal razi allahu anhu khade hoe aur aap salla allahu alaihi wasallam ko khabar di aur kai baar khabar di magar rasool salla allahu alaihi wasallam tashreef na laye bil aakhir jab nikle tho logon ko namaz padhai tho bilal ne aap salla allahu alaihi wasallam se kaha ke sayyada ayesha razi allahu anha ne onko baathon me laga liya tha aur vo unn se kuch pooch rahi thi yahan tak ke subah bahot ho gai aur aap salla allahu alaihi wasallam ne bhi tashreef lane me takheer kardi aap salla allahu alaihi wasallam ne farmaya mai fajr ki rakathen padh raha tha tho onhon ne kaha aye allah ke rasool salla allahu alaihi wasallam aap ne bahut subah kardi aap salla allahu alaihi wasallam ne farmaya agar mai isse bhi zyada subah karta tho mai inn sunnathon ko padhta aur umdagi aur khubsurti se padhta” ((Abu Dawood : 1257))
isi tarah fajr ki sunnathon ke bare me ek aur hadees me “Hazrat abu huraira razi allahu anhu riwayath karte hai ke rasool salla allahu alaihi wasallam ne farmaya fajr ki do sunnathein mat chodo agarcha dushman ke ghode tumhe kuchal rahe hon” ((Abu Dawood : 1258))
inn dono ahadees se hame andaza ho gaya ke fajr ki sunnathon ki itni ehmiyat hai ke inko chodne se nabi sallahu alaihi wasallam ne sakhti mana kiya aur halath e safar me jahan dosri namazon ko qasr karke padhte hai aur sunnathein chod dete hai vahi halath e safar me bhi fajr ki sunnathein ada karna zarori hai tho aisi surath me tho fajr ki farz rakathon ko chodne ka koi sawal hi paida nahi hota
Ab ham aap ko fajr ki ahmiyath batate hai ki fajr ki namaz padhne se kya kya fayde hai aur fajr ke kya khazane hai jo ham hasil kar sakte hai
1.Fajr ki sunnathein sari kayenath se zyada mahboob aur behtar hai
nabi salla allahu alaihi wasallam ko fajr ki sunnathein itni zyada mehboob thi ke app salla allahu alaihi wasallam inhe kabhi nahi chodte thy aur fajr ki sunnathon ko sari kayenath se zyada behtar mante thy hadees me hai “hazrath ayesha razi allahu anha se marwi hai ke rasool alah salla allahu alaihi wasallam ne farmaya fajr ki rakathen duniya aur jo kuch duniya me hai unn sab se behtar hai” [[ muslim : 1688]] isi tarah ek aur hadees me hai ke ” hazrath ayesha razi allahu anha farmati hai ke rasool allah salla allahu alaihi wasallam ne fajr ki do rakathon ke bare me farmaya ke mujhe sari kayenath se zyada mehboob hai” [[muslim : 1687]]
2.Farishton ki gawahi hasil hoti hai
fajr ki namaz me farishte hazir hote hai aur aur allah se hamare fajr ki namaz ki adayegi ki gawahi dete hai jaisa ke allah ka irshad hai
أَقِمِ ٱلصَّلَوٰةَ لِدُلُوكِ ٱلشَّمْسِ إِلَىٰ غَسَقِ ٱلَّيْلِ وَقُرْءَانَ ٱلْفَجْرِ ۖ إِنَّ قُرْءَانَ ٱلْفَجْرِ كَانَ مَشْهُودًۭ
“namaz qayam karo suraj dhalne ke baad se raath ke andhere tak aur khaas kar fajr ki qirat,be shak fajr ki qirat mashhood hoti hai” [[bani israel : 78]]
is ayath me fajr ki qirat mashhood hone ka matlab ye hai ke farishte is namaz me hazir hote hai isi tarah hadees me hai “hazrath abu huraira razi allahu anhu farmate hai ke rasool salla allahu alaihi wasallam ne faramaya ke raath aur din me farishton ki dutiyan badalti rehti hai aur fajr aur asr ki namazon me onka ijtema hota hai phir tumhare paas rehne wale farishte jab uper chadte hai tho allah pochta hai halanke vo onse bahot zyada apne bandon ke mutallik janta hai ke mere bandon ko tumne kis haal me choda vo jawab dete hai ke hamne jab onhe choda tho vo namaz padh rahe thy aur jab onke paas gaye tab bhi vo namaz padh rahe thy” [[Bukhari : 555]]
3.Rizq me barkath hasil hoti hai
jo log fajr ki namaz ada karke rizq ki talash me nikalte hai allah onke rizq me barkath ata karta hai aur onki mushkilon me asaniyan paida karta hai aur nabi salla allahu alaihi waswallam ne bhi aise shaks ke liye khaas dua ki hai “Hazrath sakhar gamadi razi allahu anhu farmate hai ke nabi salla allahu alaihi wasallam ne “ اللَّهُمَّ بَارِكْ لأُمَّتِي فِي بُكُورِهَا ” aye allah meri ummath ke liye onke subhon me barkath dalde .isiliye aap salla allahu alaihi wasallam ko koi mohim ya lashkar rawana karna hota tho onhe din ke pehle peher rawana farmate aur hazrath sakhar razi allahu anhu ek tajir sahabi thy vo apne karindon ko din ke pehle peher rawana karte thy aur vo maal daar ho gaye thy aur onka maal khoob badh gaya tha” [[Abu dawood : 2606]]
iss hadees se saaf zahir hai ke nabi salla allahu alaihi wasallam ne apni ummath ke liye khaas fajr ke baad ke waqt me barkath ki duaki hai aur ab jis kisi ko bhi apne maal aur rizq me barkath chahiye vo fajr ke baad ke waqt me rizq talash kare
4.Hajj aur umrah ka mukammal sawab milta hai
fajr ki namaz se sirf hamare rizq aur maal me hi barkath nahi hoti balke hamari hamari nekiyan bhi badh jati hai ke jo shaks fajr ki namaz ba jamath karke wahi baitha raha aur tulu e aaftaab ke baad do rakath namaz padha tho oske liye mukammal hajj aur umrah ka sawab hai hadees me “Hazrath anas razi allahu anhu farmate hai ke rasool salla allahu alaihi wasallam ne farmaya jo fajr ki namaz jamath ke saath ada kare phir wahi baitha allah ka zikr karta rahe yahan tak ke suraj tulu ho jaye phir do rakath namaz padhe tho oska sawab hajj aur umrah ke barabar hai abu huraira razi allahu anhu famate hai ke nabi salla allahu alaihi wasllam ne poora poora poora kaha”[[tirmizi : 586]]
5.Aadhi raath qayam jitna sawab
fajr ki namaz ada karne ka sawab sirf hajj aur umrah ke sawab tak mehdood nahi hai balke fajr ki namaz ada karne wale ko aadhi raath ibadath me guzarne ke barabar sawab milta hai “hazrath abdur rehman bin abi amrah ne kaha ke usman bin affan razi allahu anhu magrib ke baad masjid me dakhil hoye aur wo akele baith gaye mai bhi onke paas baith gaya aap ne kaha aye mere bhatije maine rasool salla allahu alaihi wasallam ko farmate hoe sonajisne isha ki namaz jamath ke saath padhi goya vo aadhi raath tak nafil padhta raha aur jisne subah ki namaz jamath ke saath padhi goya vo saari raath namaz padhta raha [[muslim : 1491]]
iss hadees se saaf zahir hai ke jo shaks fajr ki namaz jamath ke saath ada karta hai tho osko aadhi raath namaz me guzarne ke barabar sawab milta hai aur jo shaks isha aur fajr dono namazen ada karta hai tho osko poori raath namaz me guzarne ke barabar sawab milta hai
Subhan allah ek momin ke liye isse bada khazana aur kya ho sakta hai ke vo sirf fajr aur isha jamath ke saath ada kar le aur sawab poori raath namaz ada karte rehne ke barabar sawab hasil karle..bada hi bad naseeb hai vo shaks jo fajr ki namaz chod kar inta bada sawab apne haathon ke gawa leta hai vo bhi sirf kuch der ki neend ke liye jab ke vo log mobile chalate hoe kai kai raath tak apni neend qurbaan kar dete hai
6.Allah onka muhafiz hota hai
jo shaks fajr ki namaz ada karta hai tho allah oska mufahiz hota hai aur poora din allah khud us shaks ki hifazath karta hai aur uss pore din me agar koi osko nuqsan pahonchata hai tho oska mamala phir allah ke saath hota hai hadees me “hazrath jundub bin abdullah razi allahu anhu se marwi hai ke rasool allah salla allahu alaihi wasallam ne farmaya jisne subah ki namaz padhi vo allah ke zimme me hai jo admi allah ki zimmedari ko kisi cheez se talab karega tho allah osko ondhe muh jahannum me dakhil karega [[muslim : 1494]]
7.Qayamath ki tarikiyon me roshni milegi
jahan qayamath ke din log apne apne gunahon ke tarikiyon me honge wahin allah fajr ki namaz ke liye andhere me uth kar masjid jane walon ke liye qayamath ke din roshni ata karega “hazrath buraida aslami razi allahu anhu se marwi hai ke rasool salla allahu alaihi wasallam ne farmaya basharath do andhere me uth kar masjid jane walon ko onke kiye qayamath ke din noor hai’ [[Tirmizi : 223]]
ab jo chahe apne liye qayamath ke din ke liye abhi se roshni banale
8.Allah ka didaar hota hai
jo log chahate hai ke wo apne rab ko apni ankhon se apne samne dekhe tho bas fajr ki namaz ki pabandi karle tho onko apne rab ka didaar naseeb hojata hai isi baath ki khush khabri dete hoe hadees me nabi salla allahu alaihi wasallam ne farmaya jurair bin abdullah razi allahu anhu farmate hai ke ham rasool salla allahu alaihi wasallam ki khidmath me hajir thy aap salla allahu alaihi wasallam ne chand ki taraf nazar othai jo chawdhwi raath ka tha phir farmaya ke tum log apne rab ko be tok isi tarah dekhoge jis tarah iss chand ko dekh rahe ho ise dekhne me tumhe koi mazahimath na hogi is liye agar tum se suraj ke tulu aur guroob se pehle ki namazon me tumse kotahi na ho sake tho tum zaroor aisa karoge [[bukhari:573]] ab agar aap ko bhi apne rab ka didaar karna hai tho fajr aur asr ki namaz pabandi ke saath ada kijiye
9.Jannath ki zamanath[certificate] milti hai
ye tamam faide tho hai hi ke hame rizq me barkath milti hai hajj aur umrah ka mukammal sawab aur ma sha allah allah didaar bhi naseeb hota hai lekin fajr ke khazano me ek aur cheez bhi hai aur vo ye ke hame jannath fajr ki namaz ki pabandi ki wajah se jannath ki zamanath bhi milti hai “abi moosa ashari razi allahu anhu farmate hai ke rasool salla allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jisne thande waqt ki do namazen padhi tho wo jannath me dakhil hoga” [[bukhari : 574]] iss hadees me do thande waqt ki namazon se muraad fajr aur asr ki namaz hai
✴️ye thy vo khazane jo ke hame fajr ki namaz ada karne se milte hai aur jo fajr ki namaz ada nahi karte vo fajrke khazano se tho mehroom hote hi hai lekin onko alag se fajr ki namaz chodne ka nuqsaan othana padhta hai jisme farz namaz chodna kabira gunah hai aur ham kabira gunah ke murtakib hote hai aur saath me aur nuqsanaath bhi hai aur vo ye hai
✳️fajr ki namaz chodna munafiqeen ki aklamath hai :
Hazrath Abu huraira razi allahu anhu se marwi hai ke rasool salla allahu alaihi wasallam ne farmaya ke munafiqon par fajr aur isha ki namaz se zyada aur koi namaz bhari nahi aur agar onhe maloom hota ke inka sawab kitna zyada hai tho vo ghotno ke bal ghasitkar aate aur mera tho irada ho gaya tha ke muazzin se kahon ke takbeer kahe phir kisi ko nnamaz ppadhane ke liye kahon aur khud aag ki chingariyan le kar unn sab ke gharon ko aag laga don jo abhi tak namaz keliye nahi nikle hai [[bukhari : 657]]
✳️shaitaan ke qaidi ban jate hai :
Hazrath Abu huraira razi allahu anhu se marwi hai ke rasool salla allahu alaihi wasallam ne farmaya jab tum me se koi soya hua hota hai tho shaithan oske guddi me teen girhen laga deta hai aur har girhe par ye afsoon pad kar phonk deta hai ke abhi raath bhoot padi hai pada sota reh lekin agar vo shaks uth kar allah ka zir karta hai tho ek girhe khol jati hai phir jab wuzu karta hai tho dosri girhe bhi khol jati hai phir jab fajr ki namaz padhta hai tho teesri girhe bhi khol jati hai aur subah ko khus mizaaj khush dil rehta hai warna bad mizad sust reh kar din guzarta hai [[bukhari : 3269]]
kai doctors ka bhi kehna hota hai ke jo log subah jaldi othte hai vo log seheth mand hote hai aur jo log subah takhir se othte hai onko kaafi bimariyon ka samna karna padta hai
✳️shaitaan kaan me paishab karta hai :
pehle tho shaitan hame badi thapkiyan de kar sulata hai phir jab ham namazchod kar so jate hai tho vo hamare kanon me paishab kar deta hai
Hazrath abdullah bin masood razi allahu anhu farmate hai ke rasool sallaallahu alaihi wasallam ke samne ek shaks ka zikr aya ke vo subah tak apda sota raha aur farz namaz ke liye bhi nahi otha is par rasool allah salla allahu alaihi wasallam ne farmaya ke shaitan ne oske kaan me paishab kar diya hai [[bukhari : 1144]]
ab batiye ke jo shaks apne kaan me shaitan se paishab karwa kar subah karta hai tho oska din kaise accha guzarta hai oski roh na pak ho jati hai jiski wajah se oska sara din bekar aur nahosath me guzarta hai
allah se dua hai ke allah hame fajr ki pabandi karne ki tawfeeq ata kare aameen ya rabbul alameen…