
⭐Itikaf ka ma’ana
Lagwi(dictionary) ma’ana : band rehne,roke rehne,aur kisi cheez ko lazim pakad lene ke hai
Sharee ma’ana: kisi shaks ka apne aap ko ek khaas kaifiyat ke saath masjid me rok lena itikaf hai
⭐ Itikaf ka hukum
itikaf karna sunnat hai “Hazrath Abdullah bin umar razi allahu anhuma ne kaha ke rasool salla allahu alaihi wasallam ramzan ke akhri ashre me itikaf karte thy ((Bukhari : 2025))
lekin agar kisi ne itikaf ki nazar maani ho tho ose pora karna lazim hai. Jaisa ke quran me allah ka irshaad hai وَلۡيُوفُواْ نُذُورَهُمۡ ( Hajj : 29)) “Aur onhe chahiye ke apni nazrein pori karen” aur hadees me “Hazrath umar razi allahu anhu ne nabi salla allahu alaihi wasallam se arz kiya maine jahiliyath me ye nazar maani thi ke masjid e haraam me ek raath ka itikaf karunga aap salla allahu alaihi wasallam ne farmaya ke apni nazar pori kar” ((Bukhari : 2032))
⭐ Itikaf me baithne ki muddath
itikaf ke liye koi khaas waqt ya muddath muqarrar nahi hai ke itikaf inn hi dino me kiya jaye jaisa ke hajj ke liye waqt muqarrar hai aur farz rozon ke liye ramzan muqarrar hai. Lekin ramzan ke aakhri ashre me itikaf karna sunnat hai jaisa ke hadees me “Hazrath Abdullah bin umar razi allahu anhuma ne kaha ke rasool salla allahu alaihi wasallam ramzan ke akhri ashre me itikaf karte thy” ((Bukhari: 2025))
Isi tarah itikaf me baithne ke liye dino ki bhi koi muddath muqarrar nahi hai.jo jitne din chahe utne din itikaf me baith sakta hai jaisa ke Hadees me “Hazrath umar razi allahu anhu ne nabi salla allahu alaihi wasallam se arz kiya maine jahiliyath me ye nazar maani thi ke masjid e haraam me ek raath ka itikaf karunga aap salla allahu alaihi wasallam ne farmaya ke apni nazar pori kar” ((Bukhari : 2032))
⭐ Itikaf me baithne ka sahi waqt
agar koi ramzan ke aakhri ashre me itikaf kar raha hai tho ose chahiye ke vo bees ramzan ko shaam ke waqt masjid me chala jaye aur saari raath masjid me hai ibadathon me guzarle phir ekkis ki subah fajr ki namaz ke baad apne itikaf ki jagah me chala jaye “Hazrath ayesha razi allahu anha bayan karti hai ke rasool salla allahu alaihi wasallam jab itikaf ka irada karte tho subah ki namaz padh kar apne itikaf ki jagah me dakhil ho jate thy”(( Tirmizi , kitabus saum , babu maa ja’a fil itikaf))
⭐ Itikaf ke liye zaroori kaam
1.Niyyat : har ibadat ke liye niyyat zaroori hai niyyat ke bagair koi ibadat nahi jo ibadath niyyat se khali ho vo ibadat ibadat nahi kahi jati aur na hi uss ibadath ka sawab milta hai jabke itikaf bhi ek ibadat hai tho iske liye bhi niyyat zaroori hai jaisa ke hadees me “Hazrath Umar bin khattab razi allahu anhu farmate hai ke rasool allah salla allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tamam aamaal ka dar o madaar niyyath par hai aur har amal ka nathija har insaan ko oski niyyat ke mutabik hi milega” ((Bukhari: 1))
2.Masjid : itikaf ke liye masjid ka hona zaroori hai masjid ke alava gharon me itikaf nahi hota kyunke nabi salla allahu alaihi wasallam aur sahaba me se kisi se bhi itikaf ghar me sabit nahi aur quran me allah ka irshaad bhi hai ke وَلَا تُبَٰشِرُوهُنَّ وَأَنتُمۡ عَٰكِفُونَ فِي ٱلۡمَسَٰجِدِۗ (( Baqrah: 187)) “aur tum onse mubashirath na karo iss haal me ke tum masjid me itikaf me ho”
Iske alava aksar logon ka ye manna hai ke itikaf ke liye roza zaroori hai.jabke itikaf ke liye roza zaroori nahi is baath ka andaza ham isse laga sakte hai ke “Hazrath umar razi allahu anhu ne nabi salla allahu alaihi wasallam se arz kiya maine jahiliyath me ye nazar maani thi ke masjid e haraam me ek raath ka itikaf karunga aap salla allahu alaihi wasallam ne farmaya ke apni nazar pori kar” ((Bukhari : 2032)) iss hadees me Nabi salla allahu alaihi wasallam ne hazrat umar razi allahu anhu ko ek raath ke itikaf ki ijazat di aur ham ye baath acchi tarah jante hai ke raath ka koi roza nahi hota is liye itikaf ke liye roza zaroori nahi
⭐ Itikaf me Mustahib kaam
Itikaf me baithne vale ko chahiye ke vo apne aap ko nawafil me quran ki tilawat me zikr o azkar me aur digar ibadathon me masroof rakhe aur apne aap ko lagu baathon se roka rakhe
⭐ Itikaf me jayez kaam
🌹 Itikaf me baithne vala apna sar dho sakta hai aur apne baalon me kanghi kar sakta hai:
“Hazrath ayesha razi allahu anha bayan karti hai ke rasool salla allahu alaihi wasallam masjid me motakif hote aur sar mubarak meri taraf jhuka dete phir mai usme kangha kar deti halanke me uss waqt haiz se hua karti thi” ((Bukhari : 2028))
“Hazrath ayesha razi allahu anha bayan karti hai ke rasool allah salla allahu alaihi wasallam jab itikaf me hote tho apna sar masjid se bahar nikalte tho mai unka sir dho deti thi iss haal me ke mai haiz se hua karti thi” ((Bukhari : 2031))
🌹 Itikaf me baithne vala bagair shahwath ke apni biwi ko chu sakta hai:
“Hazrath ayesha razi allahu anha bayan karti hai ke mai haiz ki halath me hoti phir bhi aap salla allahu alaihi wasallam mujhe apne badan se laga lete aur aap salla allahu alaihi wasallam motakif hote aur mai haiza hoti” ((Bukhari : 2030))
🌹 Itikaf me baithne vala apni biwi se mulakat kar sakta hai aur ose chodne masjid ke darwaze tak ja sakta hai :
” Hazrath safiya razi allahu anha bayan karti hai ke vo ramzan ke akhri ashre me jab rasool salla allahu alaihi wasallam itikaf me baithe hoe thy tho aap salla allahu alaihi wasallam se milne masjid me aai thodi der tak baatein ki phir wapas hone ke liye khadi hoi nabi salla allahu alaihi wasallam bhi onhe pahonchane ke liye khade hoe jab vo umme Salma razi allahu anha ke darwaze se qareeb wale masjid ke darwaze par pahoche tho do ansari admi odhar se guzre aur nabi salla allahu alaihi wasallam ko salam kiya aap salla allahu alaihi wasallam ne farmaya kisi soonch ki zarurat nahi ye tho safiya binte hayy razi allahu anha hai unn dono sahabiyon ne arz kiya subhan allah ya Rasool Allah unn dono per aap ka ye jumla bada shaaq guzra aap salla allahu alaihi wasallam ne farmaya ke shaitan khoon ki tarah insaan ke badan me daodta hai mujhe khatra hua ke kahi vo tum dono ke zehen ke koi bad gumani na dalde ” ((Bukhari : 2035))
🌹 Itikaf me baithne vala zarorat(toilet wagairah) ke liye masjid se baher ja sakta hai:
“Hazrath ayesha razi allahu anha bayan karti hai ke rasool allah salla allahu alaihi wasallam jab motakif hote tho bila zarorat ghar me dakhil na hote thy” ((Bukhari : 2029)) iss hadees me bila zarorat ghar me dakhil na hona se ye baath saaf zahir hoti hai ke zarurat ke liye masjid se baher nikalte thy.
🌹 itikaf me baithne vala zarorat ke tehet logon se baath kar sakta hai:
” Hazrath safiya razi allahu anha bayan karti hai ke vo ramzan ke akhri ashre me jab rasool salla allahu alaihi wasallam itikaf me baithe hoe thy tho aap salla allahu alaihi wasallam se milne masjid me aai thodi der tak baatein ki phir wapas hone ke liye khadi hoi nabi salla allahu alaihi wasallam bhi onhe pahonchane ke liye khade hoe jab vo umme Salma razi allahu anha ke darwaze se qareeb wale masjid ke darwaze par pahoche tho do ansari admi odhar se guzre aur nabi salla allahu alaihi wasallam ko salam kiya aap salla allahu alaihi wasallam ne farmaya kisi soonch ki zarurat nahi ye tho safiya binte hayy razi allahu anha hai unn dono sahabiyon ne arz kiya subhan allah ya Rasool Allah unn dono per aap ka ye jumla bada shaaq guzra aap salla allahu alaihi wasallam ne farmaya ke shaitan khoon ki tarah insaan ke badan me daodta hai mujhe khatra hua ke kahi vo tum dono ke zehen ke koi bad gumani na dalde ” ((Bukhari : 2035))
⭐ Itikaf me na jayez kaam
🌹 kabira aur sagira tamam gumahon se bachna aur be ja lagu baathon se parhez karna
🌹 Biwi se mubashirath Karna
وَلَا تُبَٰشِرُوهُنَّ وَأَنتُمۡ عَٰكِفُونَ فِي ٱلۡمَسَٰجِدِۗ(( Baqrah: 187)) “aur tum onse mubashirath na karo iss haal me ke tum masjid me itikaf me ho”
🌹Bagair zarorat masjid se baher nikalna “Hazrath ayesha razi allahu anha bayan karti hai ke rasool allah salla allahu alaihi wasallam jab motakif hote tho bila zarorat ghar me dakhil na hote thy” ((Bukhari : 2029))
🌹mareez ki iyadat ya janaze me shirkat karna “Hazrath ayesha razi allahu anha bayan karti hai ke motakif ke liye sunnat ye hai ke mareez ki iyadat ko na jaye janaze me shirkat na kare aurat se mas na kare aur na mubashirath kare aur bagair kisi zaroori kaam ke masjid se baher na nikle “ ((Abu Dawood :2473))
⭐Aurathon ka itikaf
🌹Auratein bhi itikaf kar sakti hai “Hazrath ayesha razi allahu anha bayan karti hai ke nabi salla allahu alaihi wasallam apni wafath tak barabar ramzan ke akhri ashre me itikaf karte rahe aur aap ke baad aap ki awaaj e mutaherat itikaf karti rahi”
🌹 Auratein bhi itikaf masjid me hi karengi ghar me nahi kyunke ghar me itikaf karna ye na tho aap salla allahu alaihi wasallam se sabit hai aur na sahaba se aur kisi b azwaj e mutaherat se aur na kisi sahabiya ki sabit hai.isliye agar aurat itikaf karna chahe tho vo masjid me hi kare
🌹haiz vali aurat itikaf me nahi baith sakti isliye ke aurat haiz ki halath me koi bhi ibadat anjaam nahi de sakti isliye itikaf bhi nahi kar sakti
🌹Istehaza vali aurat itikaf me baith sakti hai
“Hazrath ayesha razi allahu anha bayan karti hai ke rasool salla allahu alaihi wasallam ke saath aapki biwiyon me se ek khatoon jo ke Istehaza me thi itikaf kiya vo surkhi aur zardi dekhti thi aksar tasht ham onke neeche rakh dete aur vo namaz padhti rahi “((Bukhari: 2037))
🌹Aurath apne shohar ki ijazat ke bagair jab ke vo osi sheher me ho na tho nafil roze rakh sakti hai aur na itikaf kar sakti hai
Ma sha allah acha hai