Rizq me barkath ke Asbaab…

Ye baath sach hai ke Allah ne har insan ka rizq aur umar pehle muqarrar kar rakha hai lekin allah ne ye bhi likh rakha hai ke ham koshish karenge tho hame milega.allah ne hame ikhtiyar de rakha hai ke ham koshish karen

Ajj kal aksar logon ki shikayath hai ke paison ki tangi hai paise kama rakhe hai lekin pata nahi kaise khatam ho jate..tho is ki wajah ye hai ke hamare rizq me barkath nahi hai jab allah hamare rizq se barkath ko hata le tho ham chahe jitne bhi paise kama le vo kam hi honge.varna tho ham dekhte hai ki kuch log sirf mahina ka 15000 ya 20000 mushkil se kamate hai lekin onke inn paison me itni barkath hoti hai ke onka pora ghar aaram se osi me accha khata aur accha pehenta aur bade sukoon me zindagi guzarta hai jabke kuch logon ka haal ye hai ke mahine ka 1 lakh kamane ke baad bhi onki zindagiyon me sukoon nahi hai

tho abb sawal ye hai ke ham apne rizq me barkath kaise hasil kar sakte hai…tho iska jawab ye hai ke quran aur hadees me kuch Asbaab bataye gaye hai jinko qpna kar jinpe amal karke ham apne rizq me barkath hasil kar sakte hai

tho unn Asbaab ko batane se pehle ek ahem baath batadun ke rizq me barkath ka matlab ye nahi ke achanak se hamari sallary double ho jaye ya phir job me achanak se promotion mil jaye ya karobaar me achanak se koi nafa ho jaye…aisa bhi ho sakta hai lekin iske alawa rizq me barkath ye bhi hai ke Allah hamare paas jo hai osi me aise barkath daal de ke vahi hamare liye kaafi ho jaye aur rizq me barkath se muraad ye bhi hai ke Allah hamare aulaad me barkath daal de kyunke aulaad bhi hamara rizq hai.tho rizq me barkath ke Asbaab me se sabse pehla sabab ye hai

Rizq me barkath ke liye sabse pehli koshish hame ye karni hai ke ham allah se rizq me barkath ki dua karte rakhe hamesha allah se ye dua karen ke allah hamare rizq me barkath daal de hamare duniya aur akhiath ki zindagi ko behtar bana jaisa ke quran me allah ne hame hukum diya hai Allah ka Irshad hai وَمِنْهُم مَّن يَقُولُ رَبَّنَآ ءَاتِنَا فِى ٱلدُّنْيَا حَسَنَةًۭ وَفِى ٱلْـَٔاخِرَةِ حَسَنَةًۭ وَقِنَا عَذَابَ ٱلنَّارِ ٢٠١أُو۟لَـٰٓئِكَ لَهُمْ نَصِيبٌۭ مِّمَّا كَسَبُوا۟ ۚ وَٱللَّهُ سَرِيعُ ٱلْحِسَابِ ٢٠٢ ((SurBaqarah : 201 202))”Aur unme se jo ye kehte hai aye hamare rab hame duniya me khair ata kar aur akhiath me bhi khair ata kar aur hame jahannum ke azaab se bacha yahi vo log hai inke liye vahi hai jiski onhon ne koshish ki aur allah jald hisaab lene vala hai.

aur hadees me “Hazrat anas bin malik razi allahu anhu farmate hai ke rasool allah salla allahu alaihi wasallam kehte thy (رَبَّنَآ ءَاتِنَا فِى ٱلدُّنْيَا حَسَنَةًۭ وَفِى ٱلْـَٔاخِرَةِ حَسَنَةًۭ وَقِنَا عَذَابَ ٱلنَّارِ)aye hamare rab hame duniya me khair ata kar aur akhiath me bhi khair ata kar aur hame jahannum ke azaab se bacha “((Bukhari : 4522))

rizq me barkath ke liye hame subah ke waqt koshish karni chahiye subah ka waqt yani subah fajar ke baad ka waqt kyun ke iss waqt me rizq ke liye koshish karne walon ke rizq me kaafi barkath hoti hai isliye ke iss waqt me koshish karne walon ke liye nabi salla allahu alaihi wasallam ne khaas dua ki “Hazrat sakhar gamadi razi allahu anhu farmate hai ke rasool allah salla allahu alaihi wasallam ne farmaya aye allah meri ummat ke liye onke subhon me barkath daal de..chunancha aap salla allahu alaihi wasallam ko koi muhim ya lashkar rawana karna hota tho onhe din ke pehle peher rawana kiya karte thy aur hazrat sakhar gamadi razi allahu anhu ek sahabi thy vo apni karindon ko din ke pehle peher rawana kiya karte thy chunancha vo maaldaar ho gaye thy aur onka maal khoob badh gaya tha” ((Abu Dawood : 2606)) ab is hadees se tho saaf zahir hai ke Allah ke nabi salla allahu alaihi wasallam ne hamare liye subah ke waqt me rizq ki barkath ki dua ki hai jabke ham me ke aksar log subah ke waqt koshish karna hi nahi balke subah ki namaz bhi chod kar subah 9 ya 10 baje tak soye rehte hai aur rizq me barkath ki ummeed lagaye baithe rehte hai

Jahan ham apne deen aur imaan ki hifazat nahi kar sakte wahan hame chahiye ke wahan se nikal kar hijrath karke aisi jagah chale jayen jahan ham apne deen aur imaan ki hifazat kar saken.. hijrath karna kaafi logon bahot mushkil lagta hai kyunki vo samajhte hai ki hijrath karenge tho jo zindagi onhon ne yahan acchi tarah settle karli hai vo kharab ho jayegi onka kaafi nuksaan hoga isliye vo apne deen aur imaan ko nuksaan me daal lete hai jabke jo log allah ke hijrath karte hai allah ne onke rizq me barkath ka waada kiya hai Allah ka Irshad hai ۞ وَمَن يُهَاجِرْ فِى سَبِيلِ ٱللَّهِ يَجِدْ فِى ٱلْأَرْضِ مُرَٰغَمًۭا كَثِيرًۭا وَسَعَةًۭ ۚ((Surah Nisa : 100))“Jo allah ki raah me hijrath karega vo zameen par bahut jagah aur kushadgi payega” iss ayat se hame acchi tarah maloom ho raha hai ke apne deen aur imaan ko bachane ke liye hijrath karne se hamare maal me koi nuksan nahi hoga balke allah hamare liye zameen ko aur kushada kar dega

allah ka taqwa ikhtiyar karna bhi rizq me barkath ka ek ahem zariya hai jaisa ke allah ne irshad farmaya وَمَن يَتَّقِ ٱللَّهَ يَجْعَل لَّهُۥ مَخْرَجًۭا ٢وَيَرْزُقْهُ مِنْ حَيْثُ لَا يَحْتَسِبُ ۚ ((Surah tallaq: 2-3))“Aur jo allah ka taqwa rakhte hai allah onke liye nikalne ka raasta banata hai aur onhe aisi jagah se rizq deta hai jiska onhone gumaan bhi na kiya ho” yahan allah ne saaf taur se bataya ke jo log allah ka taqwa rakhte hai allah onhe aisi jagah se rizq deta hai jiska onhone gumaan bhi na kiya ho tho bataiye hamare dil me kitna allah ka taqwa hai ki ham allah se achanak rizq me barkath ki ummeed laga sakte hai allah ka taqwa hamare dil me hona be hadh zaroori hai sirf rizq me barkath ke liye hi nahi balke har maqam par har mamla me hamare rizq me barkath hona zaroori hai

Hamare dil allah ka taqwa jis tarah zaroori hai osi tarah allah par bharosa bhi be hadh zaroori hai hame hamesha allah par bharosa karna chahiye kyunke allah hamare liye jo behter hota hai vahi hamare liye rakhta hai allah ke har faisla me koi na koi maslihath zaroor hoti hai isliye jab hamare rizq me kami paish aa rahi hai tho sabar karen aur allah par bharosa rakhen in sha Allah allah hamare liye zaroor behtar intezaam karega hame allah aise bharosa karna hai jaisa ke hadees me bataya gaya hai “Hazrat Umar razi allahu anhu farmate hai ke maine suna rasool allah salla allahu alaihi wasallam se aap farma rahe thy ke agar tum allah par uss tarah bharosa karo jaise uss par bharosa karne ka haq hai tho vo tumhe iss tarah rizq dega jaise parindon ko rizq deta hai vo subah bhooke rawana hote hai aur shaam ko sair ho kar aate hai “((Sunan ibne ma’jah : 4164))

Allah ki bandagi karna ye hamari zindagi ka asal maqsad hai allah ne hame isiliye paida kiya hai ke ham oski bandagi karen jab ham apni takhleeq ka asal maqsad hi pora nahi karenge aur allah se rizq me barkath ki ummeed lagaye baithe tho bataiye ye kis hadh tak sahi hoga…jo log allah ki bandagi karte hai hadees e qudsi me hai ke “Hazrat abu huraira razi allahu anhu marfo’an farmate hai ke Allah tala farmata hai adam ke bete meri ibaadat ke liye farig hoja mai tera seena istegna se bhar dunga aur tera fukr dur karunga aur agar tune aisa na kiya tho mai tera seene ko ishgaal se bhar dunga aur tera fukr dur nahi karunga “((Sunan ibne ma’jah : 4107))

jo log allah aur oske rasool par imaan rakhte hai aur jo imaan ke arkan hai unn sab par bhi imaan rakhte hai aur oske saath saath naik aamal bhi karte hai tho onke liye quran me allah ne khush khabri di hai Allah ne irshad farmaya hai مَنۡ عَمِلَ صَٰلِحٗا مِّن ذَكَرٍ أَوۡ أُنثَىٰ وَهُوَ مُؤۡمِنٞ فَلَنُحۡيِيَنَّهُۥ حَيَوٰةٗ طَيِّبَةٗۖ ((Nahl : 97))“Jo koi naik aamal kare chahe vo mard ho ya aurat aur vo momin hai tho ham ose acchi zindagi ata karenge “

isi tarha hadees me “Hazrat anas bin malik razi allahu anhu farmate hai ke rasool allah salla allahu alaihi wasallam ne farmaya kafir jab neki karta hai tho osko duniya me hi oska badla mil jata hai aur momin ki nekiyon ko allah akhirat ke liye chipa kar rakhta hai aur duniya me bhi allah osko rozi deta hai oski ita’ath karne par ((Muslim : 7090))

hame hamesha allah ka shukr Ada karna chahiye hamesha ye yaad rakhe ke allah ne jo hame diya hai vo behtareen diya hai alhamdulillah kabhi allah se ye shikayat na karen ke allah ne hame kuch nahi diya kyunke ham jitna allah ka shukr Ada karen otna hi allah hamse khush hoga aur hame aur ata karega allah ka Irshad hai لَئِن شَكَرْتُمْ لَأَزِيدَنَّكُمْ ۖ وَلَئِن كَفَرْتُمْ إِنَّ عَذَابِى لَشَدِيدٌۭ ٧ ((Surah Ibrahim-7))“agar tum shukr karo tho ham tumhe aur zyada denge aur agar tum kufr karo tho be shak hamare azaab sakht hai”

istegfaar ek aisi behtareen cheez hai ke istegfaar ke bahot se fayde hai agar aap ko istegfaar ke pore fayde janna hai tho is link pe click karke dekhe 👉 https://alikhlasislamictalks.com/astagfaar-ke-faide/ tho istegfaar ke fayedon me ek fayda ye hai ke Allah hame rizq ata karta hai allah ka Irshad hai فَقُلْتُ ٱسْتَغْفِرُوا۟ رَبَّكُمْ إِنَّهُۥ كَانَ غَفَّارًۭا ١٠يُرْسِلِ ٱلسَّمَآءَ عَلَيْكُم مِّدْرَارًۭا ١١وَيُمْدِدْكُم بِأَمْوَٰلٍۢ وَبَنِينَ وَيَجْعَل لَّكُمْ جَنَّـٰتٍۢ وَيَجْعَل لَّكُمْ أَنْهَـٰرًۭا ١٢ ((Surah nuh -10/11/12)) “aur hamne kaha tum apne rab se bakhshish talab karo be shak vo bada bakhashne vala hai vo aasman se tumhare liye mosladaar barish barsayega aur vo tumhari madad karega maal aur beton ke zariye aur vo tumhare liye baagaath aur nehren jari karega”

iss ayat me allah ne saaf taur se bataya ke allah maal aur beton ke zariye hamari madad karega in sha Allah…lekin yaad rahe ke istegfaar shukr yaqeen ye sab bhi sacche dil se sirf rizq me barkath ke liye nahi

jiske paas hajj ya phir umrah karne ki isteta’ath hai vo zaroor hajj ya umrah karen…maal ke kharch hone ke baare me na sonche kyunke Hajj aur umrah karne se hamara maal sirf kharch hi nahi hoga balke hamare maal me barkath bhi hogi hadees me “Hazrat Umar razi allahu anhu farmate hai ke rasool allah salla allahu alaihi wasallam ne farmaya hajj aur umreh musalsal karte raha karo kyunke inhe pe dar pe karna muflisi aur gunaahon ko aise dur karta hai jaise bhatti lohe ko mail kuchail se dur karti hai”((Sunan ibne ma’jah : 2887))

apne rishtedaron se hamesha naata joode rakho kabhi kisi wajah se koi ladai ho jaye ya kisi rishtedar se koi galti ho jaye jisse aapko takleef pahonchi ho tho iss wajah se onke talluq todne ke bajaye onko maaf kardo aur onse accha talluq joode rakho kyunke rishtedaron se rishta joode rakhna bhi hamare rizq me barkath ka sabab ban sakta hai hadees me “Hazrat abu huraira razi allahu anhu farmate hai ke rasool allah salla allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jise pasand hai ke oski roozi me farakhi ho aur oski umar daraz ho tho vo silah rehmi kiya kare”(( Bukhari : 5985))

hamesha apne se kamzor log jo hai onki madad karte rehna chahiye kyunke jab ham kisi kamzor ki madad karte hai tho jo vo dua hamare liye karta hai tho vo hame dil se dua deta hai aur osko allah jald qabool karta hai hadees me “Hazrat saad bin abi waqaas razi allahu anhu ka khayal tha ke onhe bahut se sahaba par fazilath hasil hai tho nabi salla allahu anhu ne farmaya ke tum log sirf apne kamzor maazoor logon ki duaon ki wajah se allah ki taraf se madad pahonchaye jate hai aur onhi ki duaon ki wajah se rizq diye jaate ho ((Bukhari : 2896))

sadqa o khairaat karte waqt aksar log samajhte hai onka maal kam ho jayega jabke asal baath tho ye hoti hai ke sadqa o khairaat karne ki wajah se hamara maal aur badh jata hai allah ne quran me irshad farmaya hai وَمَآ أَنفَقْتُم مِّن شَىْءٍۢ فَهُوَ يُخْلِفُهُۥ ۖ وَهُوَ خَيْرُ ٱلرَّٰزِقِينَ ٣٩((Surah saba: 39))“Joi koi cheez tum kharch karoge vo oska badla dega aur vo behtar rizq dene Wala hai”

hadees me bhi “Hazrat abu huraira razi allahu anhu farmate hai ke rasool allah salla allahu alaihi wasallam ne farmaya ke allah taala farmata hai aye ibne aadam tho kharch kar mai tujh pe kharch karunga “((Bukhari : 5352))

ye sabse ahem cheez hai ke hame lalach se bachna chahiye kyunke jab tak hamare andar lalach hoga hame jitna bhi mil jaye hame kam hi lagne lagega Hazrat hakeem bin hazaam razi allahu anhu farmate hai ke maine rasool allah salla allahu alaihi wasallam se kuch maanga aapne ata kiya maine phir phir maanga aur aapne phir ata kiya maine phir maanga aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya aye hakeem ye daulat badi sar sabz aur bahut hi shireen hai lekin jo shakhs ise apne dil ko sakhi rakh kar le tho oski daulat me barkath hoti hai aur jo lalach ke saath leta hai tho oski daulat me kuch b nahi hoga oska haal uss shakhs jaisa hoga jo khaata hai lekin aasoda nahi hoga upar ka haath neeche ke haath se behtar hai “((Bukhari : 1472))

hamesha karobaar ho ya koi b kaam hame sacchai ko ikhtiyar karna hai “Hazrat hakeem bin hazaam razi allahu anhu farmate hai ke rasool allah salla allahu alaihi wasallam ne farmaya khareedne aur bechne valon ko uss waqt tak ikhtiyar hai ke jab tak dono juda na ho.agar donon ne sacchai se kaam liya aur har baath saaf saaf kholdi tho onki khareed o farokht me barkath hoti hai lekin agar koi baath chipa kar rakhi ya jhoot kahi tho onki barkath khatam kardi jaati hai ((Bukhari : 2079))

ye thy kuch Asbaab jinko apna kar aur jinpe amal karke ham apne rizq me barkath la sakte hai in sha Allah

allah se dua hai ke Allah hame naik taufiq de aur hamare rizq me barkath ata kare aameen

1 thought on “Rizq me barkath ke Asbaab…”

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *