Aabru rezi((RAPE)) ki kasrat ki wajah aur ilaaj

Allah ke be shumaar neymathon me se ek azeem ul shaan neymath jo allah ne hamko di hai vo ankh hai jiske zariye se insaan duniya ki tamaam cheezon ko dekh sakta hai

ye Ankh jo allah ki janib se rehmath hai ye hamare liye zehmath bhi hai… Vo isliye ke isi nazar baazi ki wajah se ye maashra be hayaii ki daldal me phans kar zaleel o khwaar hota chala ja raha hai. Kyunke har gunah ki ibteda nazar se hoti hai aur inteha badkaari se hoti hai

Isiliye quraan aur hadees me nihayath takeed ke saath ahle imaan mardon aur aurathon ko nigah neechi rakhne ka hukum diya gaya hai. aur kaha gaya ke apni ankhon ko belagaam na chode ke halaal aur haraam ki tameez ke bagair har cheez ka nazara karti phire Allah ka irshaad hai

قُل لِّلْمُؤْمِنِينَ يَغُضُّوا۟ مِنْ أَبْصَـٰرِهِمْ وَيَحْفَظُوا۟ فُرُوجَهُمْ ۚ ذَٰلِكَ أَزْكَىٰ لَهُمْ ۗ إِنَّ ٱللَّهَ خَبِيرٌۢ بِمَا يَصْنَعُونَ.وَقُل لِّلْمُؤْمِنَـٰتِ يَغْضُضْنَ مِنْ أَبْصَـٰرِهِنَّ وَيَحْفَظْنَ فُرُوجَهُنَّAap keh dijiye imaan vale mardon se ke vo apni nigahon ko neechi rakhe aur apni sharam gahon ki hifazat kare ye onke liye behtar hai be shak allah ba khabar hai jo kuch vo karte hai. Aur aap keh dijiye imaan vali aurathon se ke vo apni nigahon ko neechi rakhe aur apni sharam gahon ki hifazat kare ” ((Surah nur : 30-31))

Iss ayath me sharam gahon ki hifazat se pehle mard aur aurath dono ko nigah neechi rakhne ka hukum diya gaya hai kyunke nigah ki hifazat ke bagair sharam gahon ki hifazat bhi mumkin nahi

Hadees me bhi nigahon ki hifazat ka takeedi hukum aaya hai ek hadees me “Hazrath Abu huraira razi allahu anhu se marvi hai ke rasool allah sallahu alaihi wasallam ne farmaya ke agar koi shaks tumhari ijazath ke bagair tumhare ghar me jhanke tho kankari se oski ankh me maro aur is wajah se oski ankh bhi phoot jaye tho tum par koi gunah nahi” ((Muslim : 5643))

Iss hadees se ye baath malom hoti hai ke nabi sallahu alaihi wasallam ne bagair ijazath ke kisi ke ghar me sirf jhankne par ankh phood dene ka hukum diya tho unn logon ka kya hukum hoga jo mobile me be hayaii ki cheezon ko bagair kisi rok tok ke dekhte hai sirf jhankna hi kitna bada halakath ka kaam hai…aur ye isliye hai ke insaan nazar baazi ki wajah se insaan zina me mubtala ho jata hai jaisa ke ek aur hadees me “Hazrath abu huraira razi allahu anhu se marvi hai ke rasool allah sallahu alaihi wasallam ne farmaya ke be shak allah ne ibne adam per oske har hisse ka zina likh rakha hai jo osse ho hi jata hai chunancha ankh ka zina dekhna hai aur zubaan ka zina baath karna hai aur nafs aarzu aur khwaahish karta hai aur sharam gah inn sab ki tasdeeq karti hai ya takzeeb karti hai ((Bukhari : 6243))

Nazar baazi shaitan ke zehrile teeron me se ek teer hai jo nazar ki aazaadi ki bina par dil me asar andaaz hote hai jiske sabab dil be chain ho jata hai. Nazar baazi ke mutalliq qayamat ke din sawal kiya jayega allah ka irshaad hai إِنَّ ٱلسَّمْعَ وَٱلْبَصَرَ وَٱلْفُؤَادَ كُلُّ أُو۟لَـٰٓئِكَ كَانَ عَنْهُ مَسْـُٔولًۭا ٣٦ “be shak kaan aur ankh aur dil har ek inn me se sawaal kiya jayega” ((Bani Israel : 36))

Isi liye hame apne nazar ko neechi rakhna aur nazar baazi bachna zaroori hai

Nazar bbaazi se bachne ka ilaaj ye hai ke hame kuch baathon ka khayal rakhna aur kuch aamaal ko karne ki zarorat hai jis se ham apne nazar ki hifazat kar sakte hai. Aur vo aamaal ye hai

Nazar baazi se bachne ke liye sabse pehla kaam ye hai ke ham aisi jagahon se dur rahe jahan be hayaii aur bad kaari aut gunah ke kaam ho rahe hon aur be zaroorat raathon par baithe rehne se bachna Jaisa ke hadees me aata hai “Abu sayeed khudri razi allahu anhu farmate hai ke rasool allah sallahu alaihi wasallam ne farmaya tum rasthon par baithne se bacho tho logon ne kaha aye allah ke rasool sallahu alaihi wasallam hum sirf baathein karne ke liye baithte hai tho aap sallahu alaihi wasallam ne farmaya accha agar tum nahi maante tho raaste ka haq ada karo tho logon ne pocha raaste ka haq kya hai tho aap sallahu alaihi wasallam ne farmaya apni ankhein neeche rakhna kisi ko takleef na dena aur salaam ka jawab dena aur neki ka hukum dena aur burai se rokna ((Muslim : 5648))

iss hadees me nigah neechi rakhne ko raaste ka haq bataya gaya hai. Tho ab bataiye ke hamara maashra raaste ka kitna haq ada kar raha hai. Jahan zaroorat ke tehet baithna ho tho nazar ki hifazat karte hue baitho ka hukum diya gaya tho yahan log baithte hi nazar baazi ke liye hai taake vo raaste par aane jaane vali ladkiyon ko cheden Astagfirullah allah hame aisi behuda harkathon se dur rakhe. Aameen

Nazar ki hifazat ke liye aur buraai ko rokne ke liye sab ahem kaam ye hai ke log apni satar ko chopaye. Satar chopane ka hukum sirf aurathon ke liye hi nahi balke mard aur aurath dono ke liye hai aur satar sirf mard ko na mehram aurat se aur aurat ko na mehram mard se hi nahi chopana balke ek mard dosre mard se aur ek aurat dosri aurat se apni satar ko chopaye hadees me “hazrath Abu sayeed khudri razi allahu anhu se riwayath hai ke rasool allah sallahu alaihi wasallam ne farmaya koi mard kisi dosre mard ka satar na dekhe aur na koi aurat kisi dosre aurat ka satar dekhe aur na koi mard kisi dosre mard ke saath ek kapde me lete aur na koi aurat kisi dosri aurat ke saath ek kapde me lete ((Muslim : 4018))

aur ek mard ka dosre mard se satar ye hai ke naaf ke upar se ghotno ke upar tak aur aurat ka dosri aurat se satar ye hai ke kandhon se ghotno tak aur ek mard ka na mehram aurat se satar kandhon se ghotno ke neeche tak hai aurat ka na mehram mard se satar mukammal jism hai

nazar baazi se bachne ka ek eham ilaaj ye bhi hai ke ham kisi ke ghar ya kamre me dakhil hone se pehle onse ijazath lena chahiye bagair ijazath ke kisi ke ghar aur kamre me bilkul bhi dakhil nahi hona hai balke dakhil hona tho dur bagair ijazath jhankne ki bhi ijazath nahi hai jaisa ek hadees guzar chuki hai ke “Hazrath Abu huraira razi allahu anhu se marvi hai ke rasool allah sallahu alaihi wasallam ne farmaya ke agar koi shaks tumhari ijazath ke bagair tumhare ghar me jhanke tho kankari se oski ankh me maro aur is wajah se oski ankh bhi phoot jaye tho tum par koi gunah nahi” ((Muslim : 5643))

Iss hadees se hame ye baath tho samajh me aa gai ke bagair ijazath ke jhankne par itni sakhti hai tho bagair ijazath ke dakhil hona kaisa hoga

Kabhi bhi kitni hi zarorat kyun na ho ek mard ko na mehram aurat ke saath aur ek aurat ko na mehram mard ke saath kabhi tanhai ikhteyar nahi karni chahiye kyun ke jahan ek na mehram mard aur aurat tanha hote hai vahan onke paas shaitan aa jata hai aur onko behayaii aur badkaari par obharta hai jaisa ke hadees me hai “Allah ke nabi sallahu alaihi wasallam ne farmaya koi mard kisi ajnabi aurat ke saath hargiz khalwath ikhtiyaar na kare warna unke saath teesra shaitan hoga”

Maashre ko be hayaii se rokne ke liye har kisi ko chaiye ke vo shuruaat apni aulaad ko nigah neechi rakhne ki taleem se karen aur har walidain ko aur har madarse me padhane vale mudarris ko aur har masjid me khutba dene vale khateeb ko chahiye ke vo nagah ki hifazat ke mauzo par khaas tawajjuh de aur logon ko iski ehmiyat aur zaroorat bataye “sayeed bin jubair apne bete ko kehte thy ke aye bete tum sher aur saanp ke peeche chalo lekin aurat ke peeche na jana” MA SHA ALLAH kya khoob nasihath ki thi aap razi allahu anhu ne apne bete ko kyunke vo jante thy ke agar onka beta sher ke peeche jata tho vo ose kha leta aur isse oski duniya barbaad hoti tho ye mamla allah ke saath hota lekin agar onka beta aurat ke peeche jata tho isse oska deen barbaad hota aur agar oska deen barbaad ho jata tho ye mamla zyada gamgeen hota duniya ke barbaad hone se

agar kisi ki achanak nazar pad jaye tho ose chahiye ke vo apni nazar pherle jaisa ke hamare nabi ne hame taleem di hai “Jurair bin abdullah se riwayath hai ke maine rasool allah sallahu alaihi wasallam se achanak padne wali nazar ke mutalliq sawal kiya tho aap sallahu alaihi wasallam ne mujhe nazar pherlene ka hukum diya ((Muslim : 5644))

nazar ki hifazat ke liye sab se zaroori kaam ye hai ke aadmi shadi karle kyun ke nikah ek aisa pakiza amal hai ke ye insaan ko badkaari be hayaii aur nazar baazi se rokta hai jaisa ke hadees me hai “Abdur rehman bin yazeed bayan karte hai ke mai alqama aur aswad ke saath hazrath abdullah bin masood razi allahu anhu ki khidmat me hazir hua unho ne hamse kaha ke ham nabi sallahu alaihi wasallam ke zamane me nawjawaan thy aur hame koi cheez mayassar nahi thi huzoor sallahu alaihi wasallam ne hamse farmaya nawjawaano ki jamath tum me jise bhi nikah karne ki taqath ho ose nikah kar lena chahiye kyunke ye nazar ko neechi rakhne wala aur sharam gah ki hifazat karne wala amal hai aur jo koi nikah ki taqath na rakhta ho ose chahiye ke vo roza rakhe kyunke roza oski khwahishaath ko thod deta hai” ((Bukhari : 5066))

Roza rakh kar bhi ham apne aap ko gunahon se rok sakte hai jaisa ke upar hadees me guzar chuka hai ke jo shaadi ki taqath nahi rakhte onko chahiye ke vo roza rakhe “Abdur rehman bin yazeed bayan karte hai ke mai alqama aur aswad ke saath hazrath abdullah bin masood razi allahu anhu ki khidmat me hazir hua unho ne hamse kaha ke ham nabi sallahu alaihi wasallam ke zamane me nawjawaan thy aur hame koi cheez mayassar nahi thi huzoor sallahu alaihi wasallam ne hamse farmaya nawjawaano ki jamath tum me jise bhi nikah karne ki taqath ho ose nikah kar lena chahiye kyunke ye nazar ko neechi rakhne wala aur sharam gah ki hifazat karne wala amal hai aur jo koi nikah ki taqath na rakhta ho ose chahiye ke vo roza rakhe kyunke roza oski khwahishaath ko thod deta hai” ((Bukhari : 5066))

agar koi haqeeqath me apne aap ko gunahon se bachana chahata hai tho ose chahiye vo acchi sohabat ikhtiyaar kare kyunke agar hamara saathi accha hoga tho vo hame acchai ki taraf bulayega aur agar vo bora hai tho vo hame burai ki taraf bulayega “Hazrath Abu huraira razi allahu anhu farmate hai ke rasool allah sallahu alaihi wasallam ne farmaya ke insaan apne mehboob saathi ke deen par hota hai tho tumhe dekhna chahiye ke tum kisse dosti kar rahe ho ((Abu Dawood : 4833))

Jab bhi aap ki nazar kisi ki taraf mayal ho tho fauran apne dil me jannath ki huron ka khayal laye iss tarah karne se ham apne nazar ki hifazat aasani se kar sakte hai kyunke jannath ki huron ki khubsurti ke bare me ham kya keh sakte hai agar duniya ki tamaam aurathon ki khubsurti ko jama kar liya jaye tab bhi jannath ki ek hur ki khubsurti nahi banti. Agar jannath ki huron ko hasil karna chahate ho tho apne nazar ki hifazat karlo “Hazrath Ubada bin samith razi allahu anhu riwayath karte hai ke rasool allah sallahu alaihi wasallam ne farmaya tum mujhe 6 cheezon ki zamanath de do tho mai tumhe jannath ki zamanath deta hu 1.Baath karo tho sach bolo 2.wada karo tho ose pora karo 3.Amanath rakhi jaye tho ose ada karo 4.Apne sharam gahon ki hifazat karo 5.Apne nigahon ko neechi rakho 6.Apne haathon roke rakho ” ((At targeeb wat tarheeb : 1465))

Hamesha allah se dua karte rehna ke allah hame apne nigah ki hifazat karne ki tawfeeq ata kare jaisa ke allah ke nabi sallahu alaihi wasallam har roz subah aur shaam ke azkaar me ye dua karte thy اللَّهمَّ عافِني في بَصَري “aye allah mujhe meri ankh me afiyath ata farma”

ye thy vo amaal jinke zariye ham apne nigahon ki hifazat kar sakte hai nigah ki hifazat se na sirf ham be hayaii se bachte hai balke nigah ki hifazat karne se allah hamare dil ko noor se bhar deta hai aur hamare dil ko imaan ki lazzath hasil hoti hai aur isi tarah hamari ankh qayamath ke din jahannum ki aag se bach jayegi

Allah se dua hai ke allah hame nigah ki hifazat karne ki tawfeeq ata farmaye aur hamare maashre se be hayaii aur bad kaari ko dur karde Aameen

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *