Tawba aur astagfaar ke mutalliq aaj aksar log yahi samajhte hai ke Tauba aur Astagfaar uss waqt kiya jata hai jab hamare se koi galti ya gunah ho jaye iske alawa ham apni zindagi me tawba aur astagfaar ko kahi shamil nahi karte.
Jabke hamare pyare nabi sallahu alaihi wasallam jinke agle aur pichle sab gunah maaf thy aur jinke sacchai aur naik bakhti ki gawahi kaafir bhi diya karte thy uss nabi ka haal ye tha ke vo din me 70 se zyada martaba tawba aur astagfaar kiya karte thy ,bukhari ki ek hadees me ✳️”Nabi sallahu alaihi wasallam ne farmaya allah ki qasam mai din me 70 se zyada martaba allah se tawba aur astagfaar karta hun” ((bukhari : 6307))
Nabi sallahu alaihi jab itni martaba astaafar karte thy tho oski koi na koi wajah tho zaroor hogi ,aur vo wajah ye hai ke tawba aur astagfaar ke quraan aur hadees me kai zyada fayde hai aur vo fayde ye hai
1.GUNAH MAAF KAR DIYE JATE HAI
sab se pehla faida tho yahi hai ke isse gunah nmaaf ho jate hai jaisa ke allah ka irshad hai
✳️(( قَالَ رَبِّ إِنِّى ظَلَمْتُ نَفْسِى فَٱغْفِرْ لِى فَغَفَرَ لَهُۥٓ ۚ)) osne kaha be shak maine apne nafs par zulm kiya hai pas tu mujhe maaf karde tho ose maaf kar diya gaya ((surah qasas : 16))
2.GUNAH NEKIYO MEIN BADAL JATE HAIN
tawba aur astagfaar se na sirf gunah maaf hote hain balke gunah maaf hone ke baad gunah nekiyo mein badl jate hain Alaah ka irshaad hai
✳️(( إِلَّا مَن تَابَ وَءَامَنَ وَعَمِلَ عَمَلًۭا صَـٰلِحًۭا فَأُو۟لَـٰٓئِكَ يُبَدِّلُ ٱللَّهُ سَيِّـَٔاتِهِمْ حَسَنَـٰتٍۢ ۗ وَكَانَ ٱللَّهُ غَفُورًۭا رَّحِيمًۭا ))” siwaye onke jo twaba kiye aur imaan laye aur naik amaal kiye yahi wo log hai allah inke buraiyon ko nekiyo me badal deta hai aur allah bakhashne wala meherbaan hai” ((surah furqan : 70))
3.JANNATH HASIL HOTI HAI
Jis tarah tawba aur astagfaar se gunah maaf hote hai aur phir vo nekiyon me badal jate hai itna hi nahi balke tawba aur astagfaar hammare liye jannath me dakhile ka sabab bhi banta hai allah ka irshaad hai
✳️(( إِلَّا مَن تَابَ وَءَامَنَ وَعَمِلَ صَـٰلِحًۭا فَأُو۟لَـٰٓئِكَ يَدْخُلُونَ ٱلْجَنَّةَ وَلَا يُظْلَمُونَ شَيْـًۭٔا ))”siwaye onke jo tawba kiye aur imaan laye aur naik amaal kiye yahi vo log hai allah inko jannath me dakhil karega aur un par koi zulm na kiya jayega” (( surah maryam : 60))
4.ALLAH KE AZAAB SE BACH JAATE HAI
Tawba aur astagfaar karne walon ko alaah azaab nahi deta allah ka irshaad hai
✳️(( وَمَا كَانَ ٱللَّهُ مُعَذِّبَهُمْ وَهُمْ يَسْتَغْفِرُونَ )) “Aur allah onko aazaab dene wala nahi hai is haal mein ke vo tawba aur astagfaar karne wale hon” ((surah anfal : 33))
5.ALLAH KI MOHABBA HASIL HOTI HAI
Tawba aur astagfaar karne wale allah ke mehboob bande ban jate hai aur jo allah ke mehboob ban jaye onki khush qismathi ke bare me kya hi kaha ja sakta hai.allah nka irshaad hai
✳️((إِنَّ ٱللَّهَ يُحِبُّ ٱلتَّوَّٰبِينَ وَيُحِبُّ ٱلْمُتَطَهِّرِينَ)) “be shak allah tawba karne walon ko aur paki ikteyar karne walon ko pasand karta hai ” (( surah baqarah : 222))
6.ALLAH KHUSH HOITA HAI
tawba aur astagfaar se allah bahot khush hota hai hadees me bayan kiya gaya hai ke
✳️”hazrath anas bin malik raziallahu anhu farmate hai ke raasool allah sllahu alaihi wasallam ne farmaya allah tala apne bande ki taswba se tum me se us shaks se bhi zyada khush hota hai jiska oonth mayoosi ke baad ackanak ose mil jaya ho halanke vo ek chatel maidan me gum hua tha” وَمَا كَانَ ٱللَّهُ مُعَذِّبَهُمْ وَهُمْ يَسْتَغْفِرُونَ ٣٣ ((bukhari : 6309))
7.KAMYABI HASIL HOTI HAI
Aaj duniya me kon nahi chahata hai ke vo sabse kamiyaab insaan bane aur iske liye vo alag alag tarah se mehnath aur koshish karte hai jabke kamiyabi ke liye allah ne hame sabse asaan tarika tawba aur astagfaar ko rakah hai allah ka irshaad hai
✳️(( وَتُوبُوٓا۟ إِلَى ٱللَّهِ جَمِيعًا أَيُّهَ ٱلْمُؤْمِنُونَ لَعَلَّكُمْ تُفْلِحُونَ ))“aur tum sab allah ki taraf tawba aur astagfaar karo aye momino take tum falah pa sako” ((surah nur : 31))
8.ALLAH BARISH BARSATA HAI
9.NEHRE JARI KARTA HAI
10.DAWLATH ATA KARTA HAI
11.ALLAH BETE ATA KARTA HAI
Tawba aur astagfaar ke zariye allah barish barsata hai nehre jari karta hai aur allah tawba karne walon ko maal aur dawlath se nawazta hai aur allah bete ata karta hai.
aaj kai log aulaad ki wajah se pareshan hai ke onko aulaad nahi hai aur iske liye vo tarah tarah ke ilaaj karate rehte hai jabke allah ne quran me bataya ke tawba aur astagfaar karne walon ko na sirf aulaad deta hai balke bete ata karta hai. kai log tho aise bhi hai ke onko aulaad hai lekin betiya hai bete nahi hai aur vo bete ke khwahishmand hote hai ke beta raha tho onke budhape ka sahara banega tho vo kasrath se astagfaar karte rahe allah ka irshaad hai
✳️((فَقُلْتُ ٱسْتَغْفِرُوا۟ رَبَّكُمْ إِنَّهُۥ كَانَ غَفَّارًۭا , يُرْسِلِ ٱلسَّمَآءَ عَلَيْكُم مِّدْرَارًۭا , وَيُمْدِدْكُم بِأَمْوَٰلٍۢ وَبَنِينَ وَيَجْعَل لَّكُمْ جَنَّـٰتٍۢ وَيَجْعَل لَّكُمْ أَنْهَـٰرًۭا )) “maine onse kaha ke tum astagfaar karo apne rab se be shak vo bakhashne wala hai vo tum par asmaan se musalsal barish barsayega aur vo beton aur maal ke zariye tumhari madad karega aur tumhare liye bagath aur nehre banayega” ((surah nuh : 10,11,12))
12.GHUM MIT JATE HAI
13.TANGI SE NAJAATH MILTI HAI
14.RIZQ MILTA HAI
Tawba aur astagfar ke faide ye bi hai ke hamare ghum dur ho jate hai aur hamare zindagiyon me agar tangi ho tho vo bhi qatam ho jati hai aur hame rizq bhi ata hota hai ,hadees me hai
✳️”Hazrath Ibne abbas razi allahu anhu farmate hai ke rasool allah sallahu alaihi wasallam ne farmaya jisna astagfaar kp lazim pakad liya allah ose tangi se nikalne ka rasta banata hai aur ose har ghum se dur karta hai aur aisi jagah se rizq ata karta hai jiska osne guman bhi na kiya ho” ((abu dawood ; 1518))
duniya
15.DUNIYA ME HAMARI TAQATH BADHTI HAI
Allah ne quran me irshaad farmaya
✳️((وَيَـٰقَوْمِ ٱسْتَغْفِرُوا۟ رَبَّكُمْ ثُمَّ تُوبُوٓا۟ إِلَيْهِ يُرْسِلِ ٱلسَّمَآءَ عَلَيْكُم مِّدْرَارًۭا وَيَزِدْكُمْ قُوَّةً إِلَىٰ قُوَّتِكُمْ وَلَا تَتَوَلَّوْا۟ مُجْرِمِينَ )) “aur aye meri qaum tum apne rab se astagfaar karo vo tum par asman se musalsal barish barsayega aur tumhari taqath par taqath ko badha dega” ((surah hud : 52))
ye thy vo faide jo ke hame astagfaar karne se milte hai ,koshish kare ke zyada se zyada astagfaar karte rahe
allah se dua hai ke allah hame tawba aur astagfaar karne ki tawfiq ata farmaye aur hamare gunahon ko maaf farmte Aameen