Gunahon ko bakhsh dene vale “25” Aamaal

Ham tamaam logon me koi insaan aisa nahi jisse koi junah na hua ho. Har insaan se koi na koi gunah ho hi jata hai chahe ho jaan kar ho ya anjane me. Aise me ham apne aamaal ki maafi kaise karen..? Aam taur par ham gunahon ki maafi ke liye istegfaar karte hai jo ke zarori amal hai lekin iske alawa bhi deen e islaam me kuch aamaal hai jinke karne se hamare gunah bakhsh diye jate hai unn aamaal me 25 zarori aur ahem aamaal kar zikr karongi in sha allah aur vo aamaal ye hai

✳️یاایھا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓا۟ إِن تَتَّقُوا۟ ٱللَّهَ يَجْعَل لَّكُمْ فُرْقَانًۭا وَيُكَفِّرْ عَنكُمْ سَيِّـَٔاتِكُمْ وَيَغْفِرْ لَكُمْ ۗ وَٱللَّهُ ذُو ٱلْفَضْلِ ٱلْعَظِيمِ ((Surah anfaal : 29))Aye imaan valon agar tum allah ka taqwa ikhteyar karte ho tho allah tumhare liye furqaan(haq aur batil me farq karne vali cheez) ata karega aur tumse tumhari buraiyaan dur kardega aur vo tumhe bakhsh dega aur allah bada fazl vala hai

✳️قُلْ إِن كُنتُمْ تُحِبُّونَ ٱللَّهَ فَٱتَّبِعُونِى يُحْبِبْكُمُ ٱللَّهُ وَيَغْفِرْ لَكُمْ ذُنُوبَكُمْ ۗ وَٱللَّهُ غَفُورٌۭ رَّحِيمٌۭ((Surah aal-imraan : 31)) aye nabi aap keh dijiye agar tum allah se mohabbat karte ho tho meri ita-at karo allah tumse mohabbat karega aur tumhare gunaah maaf farma dega aur allah bada bakhashne vala meherbaan hai

✳️إِن تَجْتَنِبُوا۟ كَبَآئِرَ مَا تُنْهَوْنَ عَنْهُ نُكَفِّرْ عَنكُمْ سَيِّـَٔاتِكُمْ وَنُدْخِلْكُم مُّدْخَلًۭا كَرِيمًۭا((Surah nisa : 31)) agar tum kabira gunahon se bachte rahe jisse tumhe roka gaya hai tho hum tumse tumhaari buraiyaan dur kar denge aur tumhe izzat aur buzurgi vali jagah daakhil karenge

✳️وَٱلَّذِى جَآءَ بِٱلصِّدْقِ وَصَدَّقَ بِهِۦٓ ۙ أُو۟لَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلْمُتَّقُونَ لَهُم مَّا يَشَآءُونَ عِندَ رَبِّهِمْ ۚ ذَٰلِكَ جَزَآءُ ٱلْمُحْسِنِينَ لِيُكَفِّرَ ٱللَّهُ عَنْهُم أَسْوَأَ ٱلَّذِى عَمِلُوا۟ وَيَجْزِيَهُمْ أَجْرَهُم بِأَحْسَنِ ٱلَّذِى كَانُوا۟ يَعْمَلُون((Surah zumar : 33.34.35)) jo log sacchai ke saath aaye aur uss ki tasdeek ki yahi vo log hai jo kamiyaab hai unn ke liye unke rab ke paas jo vo chahenge vo hoga yahi neeki karne valon ka ajar hai take allah unse unke bure amal ko dur karde aur jo unhone neki ki uska accha badla de

✳️إِنَّ ٱلَّذِينَ يَخْشَوْنَ رَبَّهُم بِٱلْغَيْبِ لَهُم مَّغْفِرَةٌۭ وَأَجْرٌۭ كَبِيرٌۭ((Surah mulk : 12)) be shak jo log apne rab se gaib ke saath darte hai unke liye magfirat hai aur bada ajar hai

✳️إِن تُبْدُوا۟ ٱلصَّدَقَـٰتِ فَنِعِمَّا هِىَ ۖ وَإِن تُخْفُوهَا وَتُؤْتُوهَا ٱلْفُقَرَآءَ فَهُوَ خَيْرٌۭ لَّكُمْ ۚ وَيُكَفِّرُ عَنكُم مِّن سَيِّـَٔاتِكُمْ ۗ وَٱللَّهُ بِمَا تَعْمَلُونَ خَبِيرٌۭ((Surah Baqarah : 271)) agar tum sadqa zahir karo tho ye bhi tumhare liye accha hai aur agar chupao aur fakheeron ko do tho ye tumahare liye behtar hai aur tumse tumhari buraiyaan dur kardi jayengi aur allah tumhare aamaal ko behtar janta hai

✳️Abu huraira raziallahu anhu farmate hai ke rasool allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jab musalmaan ya momin banda wazu karta hai aur muh dhota hai tho oske muh se vo sab gunaah nikal jate hai jo osne aankhon se kiye uss pani ke saath ya aakhri khatre ke saath phir jab haath dhota hai tho oske haathon me se har ek gunaah jo haath se kiya tha pani ke saath ya aakhri khatre ke saath nikal jate hai phir jab paun dhota hai tho har ek gunaah jisko osne paun se chal kar kiya tha pani ke saath ya aakhri khatre ke saath nikal jate hai yahan tak ke sab gunahon se paak ho kar nikalta hai((Muslim : 577))

✳️Usman bin affan raziallahu anhu farmate hai ke rasool sallallahu alaihi wasallam ne mukammal wazu kiya phir farmaya jo shakhs mere is wazu ki tarah wazu kare phir do rakat namaz padhe aur iss namaz ke dauraan kisi aur khayal me mashgool na hua ho tho oske agle sab gunah maaf kar diye jate hai((Muslim : 538))

✳️Abu huraira raziallahu anhu farmate hai rasool sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke agar kisi shakhs ke darwaze par neher jari ho aur vo osme din me 5 martaba gusul karta ho tho tumhara oske bare me kya khayal hai kya oske badan per koi mail baqi reh jati hai tho sahaba ne kaha nahi ya rasool allah hargiz nahi phir rasool sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke yahi haal 5 namazo ka hai ke allah unke zariye se gunahon ko mita deta hai((Bukhari : 528))

✳️Abu huraira raziallahu anhu farmate hai rasool sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jisne gusul kiya aur jumma me aaya aur jitni taqdeer me thi namaz padhi aur khutba se farig hone tak chup raha phir imaam ke saath namaz padhi tho oske gunah bakhshe gaye iss jumma se guzishta jumma tak ke aur teen din ke aur zyada((Muslim : 1987))

✳️Abu huraira raziallahu anhu farmate hai rasool sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab koi tum me se Aameen kahe aur farishton ne bhi osi waqt Aasmaan per Aameen kahi is tarah ek ki Aameen dosre ki Aameen se mil gai tho oske pichle tamaam gunah maaf ho jate hai((Bukhari : 781))

✳️Abu huraira raziallahu anhu farmate hai rasool sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab imaam samiallahu liman hamida kahe tho tum allahumma rabbana walakal hamd kaho kyunke jiska ye kehna farishton ke kehne ke saath hoga oske pichle tamaam gunah bakhsh diye jayenge((Bukhari : 796))

✳️Abu huraira raziallahu anhu farmate hai ke rasool sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jisne subhan allahi wabi hamdihi din me sau martaba kaha oske gunah maaf kar diye jate hai khwa samandar ki jhaak ke barabar hi kyun na ho((Bukhari : 6405))

✳️Abu huraira raziallahu anhu farmate hai rasool sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jisne ye kalmaلاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ، لَهُ الْمُلْكُ، وَلَهُ الْحَمْدُ، وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَىْءٍ قَدِيرٌ‏ (la ilaha illallahu wahadahu la shari kalahu lahul mulku walahul hamd wahua ala kulli shayyin khadeer) din me sau martaba padha ose das gulaam azaad karne ka sawaab milega aur uske liye sau nekiya likhdi jayengi aur uski sau buraiyaan mitadi jayengi aur uss din vo shaitan ke shar se mehfooz rahega shaam tak ke liye ((Bukhari : 6403))

✳️Abu huraira raziallahu anhu farmate hai rasool sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke jo har namaz ke baad Subhan allah 33 martaba alhamdulillah 33 martaba aur allahu akbar 33 martaba padhta hai tho 99 honge aur 100 mukammal karne ke liye ek marta la ilaha illallahu wahadahu la shari kalahu lahul mulku walahul hamd wahua ala kulli shayyin khadeer padhe tho oske gunah bakhshe jate hai agar samandar ke barabar hi kyun na ho((Muslim : 1352))

✳️Abu huraira raziallahu anhu farmate hai rasool sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jo iss ghar yani kaaba me aaya aur be huda aur shehwath rani ki baathein na ki na gunah kiya vo aisa lauta goya oski maa ne ose abhi janam diya ho((Muslim : 3291))

✳️Abu qatata raziallahu anhu farmate hai rasool sallallahu alaihi wasallam ne farmaya arfe ke dinke roze ki wajah se mai allah se ummeed rakhta hun ke vo isse pehle saal bhar ke aur iske baad ke saal bhar ke gunah maaf farmadega((Ibne maaja : 1730))

✳️Abu qatata raziallahu anhu farmate hai rasool sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs yaume ashura ka roza rakhe mujhe ummeed hai ke allah oske guzishta saal bhar ke gunah maaf farmade ((Tirmizi : 730))

✳️Abu huraira raziallahu anhu farmate hai ke rasool sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jo koi shabbe qadr me imaan aur sawaab ki niyyat se ibadat me khada hua oske tamaam agle gunah bakhsh diye jayenge aur jisne ramzaan ke roze imaan aur sawaab ki niyyat se rakhe oske agle tamaam gunah maaf kar diye jayenge ((Bukhari : 1901))

✳️Abu huraira raziallahu anhu farmate hai ke rasool sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jisne ramzaan ki raathon me namaaz e taraweeh padhi imaan aur sawaab ki niyyat se oske agle tamaam gunah maaf ho jayenge((Bukhari : 2009))

✳️Abu huraira raziallahu anhu farmate hai ke rasool sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs shabbe qadr me imaan ke saath sawaab e akhirath ke liye ibaadat me guzare oske guzishta gunah bakhsh diye jate hai((Bukhari : 35))

Bukhari ki ek lambi hadees me aata hai ke jis masjlis me allah ka zikr ho uss majlis me jaane se allah hamaare gunah maaf kar deta hai agar koi shash deen baath sunne ke liye nahi balke kisi kaam se deeni majlis me chala jaye tho allah oske bhi gunah maaf kar deta hai((Bukhari : 6408))

✳️Abu huraira raziallahu anhu farmate hai ke rasool sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke bande ne bahot gunah kiye aur kaha aye mere rab mai tera hi gunahagaar banda hun tu mujhe bakhsh de allah ne farmaya mera banda janta hai ke oska koi rab zarur hai jo gunah maaf karta hai aur gunah ki wajah se saza bhi deta hai maine apne bande ko bakhsh diya phir banda ruka rehta hai jitna allah ne chaha isi tarah 3 martaba hota hai phir iske baad jo chahe amal kare((Bukhari : 7507))

✳️Ayesha raziallahu anha farmati hai ke rasool sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jo musibath bhi kisi musalmaan ko pahonchti hai allah ose oske gunah ka kaffara kar deta hai ek kanta bhi agar jism ke kisi hisse me chubh jaye((Bukhari : 5640))

✳️Abu huraira razi allahu anhu farmate hai rasool sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ek shakhs raste se ja raha tha osne raaste me ek kantedaar shaakh dekhi tho usko hata diya allah ne oski neeki ko qubool kiya aur osko bakhsh diya((Bumhari : 6669))

ye thy vi vo aamaal jinke karne se hamare gunah bakhsh diye jate

allah se dua hai ke allah hamaare gunaahon ko maaf farma kar hame naik aur seedhe raste pe chalne vala banaye… Aameen

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *