Duniya me jitne bhi musalmaan hai vo sab hi allah ke bande hai aur allah ko manne vale hai. Lekin onhi bandon me kuch khaas bande aise hai jinhe allah ne Quraan me Ibadur Rehmaan ka naam dete hue onki kuch sifathen kuch nishaniyaan allah ne batai hai ke Rehmaan ke naik bande aise hote hai Allah ne irshaad farmaya
وَعِبَادُ ٱلرَّحْمَـٰنِ ٱلَّذِينَ يَمْشُونَ عَلَى ٱلْأَرْضِ هَوْنًۭا وَإِذَا خَاطَبَهُمُ ٱلْجَـٰهِلُونَ قَالُوا۟ سَلَـٰمًۭا ٦٣وَٱلَّذِينَ يَبِيتُونَ لِرَبِّهِمْ سُجَّدًۭا وَقِيَـٰمًۭا ٦٤وَٱلَّذِينَ يَقُولُونَ رَبَّنَا ٱصْرِفْ عَنَّا عَذَابَ جَهَنَّمَ ۖ إِنَّ عَذَابَهَا كَانَ غَرَامًا ٦٥إِنَّهَا سَآءَتْ مُسْتَقَرًّۭا وَمُقَامًۭا ٦٦وَٱلَّذِينَ إِذَآ أَنفَقُوا۟ لَمْ يُسْرِفُوا۟ وَلَمْ يَقْتُرُوا۟ وَكَانَ بَيْنَ ذَٰلِكَ قَوَامًۭا ٦٧وَٱلَّذِينَ لَا يَدْعُونَ مَعَ ٱللَّهِ إِلَـٰهًا ءَاخَرَ وَلَا يَقْتُلُونَ ٱلنَّفْسَ ٱلَّتِى حَرَّمَ ٱللَّهُ إِلَّا بِٱلْحَقِّ وَلَا يَزْنُونَ ۚ وَمَن يَفْعَلْ ذَٰلِكَ يَلْقَ أَثَامًۭا ٦٨يُضَـٰعَفْ لَهُ ٱلْعَذَابُ يَوْمَ ٱلْقِيَـٰمَةِ وَيَخْلُدْ فِيهِۦ مُهَانًا ٦٩إِلَّا مَن تَابَ وَءَامَنَ وَعَمِلَ عَمَلًۭا صَـٰلِحًۭا فَأُو۟لَـٰٓئِكَ يُبَدِّلُ ٱللَّهُ سَيِّـَٔاتِهِمْ حَسَنَـٰتٍۢ ۗ وَكَانَ ٱللَّهُ غَفُورًۭا رَّحِيمًۭا ٧٠وَمَن تَابَ وَعَمِلَ صَـٰلِحًۭا فَإِنَّهُۥ يَتُوبُ إِلَى ٱللَّهِ مَتَابًۭا ٧١وَٱلَّذِينَ لَا يَشْهَدُونَ ٱلزُّورَ وَإِذَا مَرُّوا۟ بِٱللَّغْوِ مَرُّوا۟ كِرَامًۭا ٧٢وَٱلَّذِينَ إِذَا ذُكِّرُوا۟ بِـَٔايَـٰتِ رَبِّهِمْ لَمْ يَخِرُّوا۟ عَلَيْهَا صُمًّۭا وَعُمْيَانًۭا ٧٣
وَٱلَّذِينَ يَقُولُونَ رَبَّنَا هَبْ لَنَا مِنْ أَزْوَٰجِنَا وَذُرِّيَّـٰتِنَا قُرَّةَ أَعْيُنٍۢ وَٱجْعَلْنَا لِلْمُتَّقِينَ إِمَامًا ٧٤
“Aur Rehmaan ke bande vo hai jo zameen par chalte hai tho narmi se chalte hai aur jab jahilon se mukhatib hote hai tho salaam kehte hai. Aur vo log apne rab ke liye sajda aur qiyam me raathein guzarte hai. Aur vo log kehte hai aye hamaare rab ham se jahannum ke azaab ko dur karde be shak iska azaab chimatne vala hai. Be shak vo rehne aur teherne ke aitebaar se buri jagah hai. aur vo log jab kharch karte hai tho israaf nahi karte Aur na hi bakhili karte hai balke vo log darmiya ravi ikhtiyaar karte hai. Aur vo log allah ke saath kisi dosre ko nahi pokarte hai aur na kisi nafs ko qatal karte hai jise allah ne haraam kiya hai sivaye haq ke aur na zina karte hai aur jo aisa kare ose badi saza milegi. Aur qayamat ke din oske liye azaab ko dugna kar diya jayega aur vi khuaar hokar hamesha rahega. siwaye unke jo tawba kare aur imaan laye aur naik aamaal kare ye vo log hai ke allah onke buraaiyon ko nekiyon me badal dega aur allah bakhashne vala meherbaan hai. Aur jo tawba kare aur naik aamaal kare tho osne allah ki taraf acchi tawba ki hai. Aur vo log jhooti gawahi nahi dete aur jab vo behuda jagah se guzarte hai tho sharafath ke saath vahan se nikal jate hai. Aur vo log jab unke samne allah ka kalaam zikr kiya jata hai tho behre aur andhe ho kar nahi sonte. aur vo log ye kehte hai ke aye hamare rab hamari biwiyon aur hamari aulaad ko hamari aankhon ki thandak bana aur hame muttaqiyon ka sardaar bana”
Inn Aayathon me Ibadur Rehmaan ke jo ausaaf bataye gaye hai vo ye hai
1.Zameen par narmi se Chalna
ٱلَّذِينَ يَمْشُونَ عَلَى ٱلْأَرْضِ”vo log jab zameen par chalte hai tho narmi ke saath chalte hai “
Naik bandon ki sifath ye hoti hai ke jab vo chalte hai tho ghamand se akad kar nahi chalte na sina taan kar dikhawa karte chalte hai jaisa ke allah ne irshaad farmaya”aur tho zameen par akad kar na chal” ((surah luqman : 18)) isiliye nabi sallallahu alaihi wasallam jab chalte tho aisa maloom hota ke kisi oonchi jagah se niche utar rahe hon. Aur yahan tak ke nabi sallallahu alaihi wasallam ne sahaba ko namaaz ke liye bhi daud kar aane se mana kiya “Abu huraira raziallahu anhu farmate hai ke rasool allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya tum log takbeer ki awaaz sunlo tho namaaz ke liye niklo tho sukoon aur wiqaar ko laazim pakde rakho aur dawd kar mat aao phir namaaz ka jo hissa mile ose padhlo aur jo na mil sake ose baad me pora karlo ((Bukhari : 636))
2.ladai jhagda na karna
وَإِذَا خَاطَبَهُمُ ٱلْجَـٰهِلُونَ قَالُوا۟ سَلَـٰمًۭا” Aur jab jahilon se mukhatib hote hai tho salaam kehte hai “
iska matlab ye nahi ke vo jahilon ko salaam karte phirte hai balke jab onka jhagda kisi jahil logon se hota hai tho vo oske saath jhagde ko zyada lamba na karte hue mukhtasar baath se jhagda khatam kar dete hai chahe onki galti ho ya na ho maafi maang kar jhagda khatam kar dete hai kyunke jhagda karna naik bandon ki nahi balke munafiqon ki sifat hai
3.Tahajjud padhna
وَٱلَّذِينَ يَبِيتُونَ لِرَبِّهِمْ سُجَّدًۭا وَقِيَـٰمًۭا “aur vo log apne rab ke liye sajda aur qiyam me raathen guzarte hai”
din ke paanch waqt ki farz namazen ada karna hi nahi balke raathon ko oth kar apni neend qurbaan karke allah ki ibaadat karna ye naik bandon ki sifat hai. Allah ne quraan me irshaad farmaya “onke pehlo bistaron se alag rehte hai”((Sajda : 16))
4.Ibadathon ke bawajood allah ke azaab se darna
وَٱلَّذِينَ يَقُولُونَ رَبَّنَا ٱصْرِفْ عَنَّا عَذَابَ جَهَنَّمَ ۖ إِنَّ عَذَابَهَا كَانَ غَرَامًا “aur vo log ye kehte hai aye hamaare rab hamse jahannum ke azaab ko dur karde be shak oska azaab chimatne vala hai”
Naik bande chahe jitne bhi aamaal karle kitni hi ibadathen karle onhe hamesha ye dar rehta hai ke onki ibadathen qubool ho rahi hai ya nahi ya Kahi onse koi gunah na ho jaye jiski wajah se allah onke azaab de. jaisa ke hamaare pyare nabi jinke agle sur pichle sab gunah maaf kar diye gaye thy jo gunahon se paak thy onka ye mamool tha ke “hazrat anas bin malik raziallahu anhu farmate hai ke rasool allah sallallahu alaihi wasallam ki aksar ye dua hoti thi aye allah tho hame duniya me bhalai ata kar aur akhirath me bhi aur hame jahannum ke azaab se bacha”((Bukhari : 6389))
5.Israaf nahi karte
وَٱلَّذِينَ إِذَآ أَنفَقُوا۟ لَمْ يُسْرِفُوا۟ “aur vo log jab kharch karte hai tho Israaf nahi karte”
Israaf karna naik bandon ki sifat nahi balke israaf karne valon ko allah ne shaitan ka bhai bataya hai allah ka farmaan hai “be shak israaf karne vale shaiyathin ke bhai hai”((Surah bani Israel : 27)) isiliye naik bande logon ko dikhane ke liye israaf nahi karte
6.Bakhili nahi karte
وَلَمْ يَقْتُرُوا۟ وَكَانَ بَيْنَ ذَٰلِكَ قَوَامًۭا “aur bakhili nahi karte balke darmiyana ravi ikhtiyaar karte hai”
naik bande israaf nahi karte iska matlab ye nahi ke vo bakhili nahi karte balke darmiyana ravi ikhtiyaar karte hai musnad ahmed ki ek riwayath me “nabi sallallahu alaihi wasallam ne farmaya aadmi ke samajhdaar hone ki daleel ye hai ke vo apne akhrajaath me darmiyana ravi ikhtiyaar kare phir farmaya jo darmiyana ravi ikhtiyaar karta hai vo kabhi mohtaaj nahi hota” Isi tarah allah ne irshaad farmaya “tho apne haath ko apne gardano se bandha na rakh”((Surah bani Israel : 29))
7.Allah ke saath shirk nahi karte
وَٱلَّذِينَ لَا يَدْعُونَ مَعَ ٱللَّهِ إِلَـٰهًا ءَاخَرَ “aur vo log allah ke saath kisi ko nahi pokarte”
allah ke saath shirk karna ye sab se bada gunah hai aur naik bande itna bada gunah agar karenge tho vo naik bande ho hi nahi sakte balke vo tho mushrik hai itna bada gunah karne valon allah maafi ke bagair kabhi maaf nahi karta
8.Na haq qatal nahi karte
وَلَا يَقْتُلُونَ ٱلنَّفْسَ ٱلَّتِى حَرَّمَ ٱللَّهُ إِلَّا بِبِٱلْحَقِّ”aur vo log jise allah ne haram kiya hai ose na haq qatal nahi karte siwaye haq ke saath”
jise allah ne haram kiya ose qatal nahi karna yani kisi bhi nafas ko jis par qatal ka had na lage ose qatal nahi karna chahiye. Haq ke saath qatal karne ki teen surathen hai 1.koi islaam ke baad kufr kare 2.shadi shuda zina kare 3.kisi ko na haq qatal kare
9.Zina na karna
وَلَا يَزْنُونَ”aur vo zina nahi karte “
shirk na karna qatal na karna aur zina na karna inn teeno cheezon ke bare ek hadees me ata hai ke “hazrat Abdullaah bin masood razi allahu anhu farmate hai ke maine rasool allah sallallahu alaihi wasallam se pocha ke ya rasool allah sallallahu alaihi wasallam allah ke nazdeek sabse bada gunah konsa hai aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ye ke tum allah ke saath shirk karo jabke osi ne tumhe paida kiya hai phir maine pocha phir konsa aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke tum apni aulaad ko iss dar se maar dalo ke vo tumhare saath tumhari rozi me shareek hogi phir maine pocha phir konsa aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke tum apne padosi ki biwi ke saath zina karo”((Bukhari : 4761))
10.Jhooti gawahi na dena
وَٱلَّذِينَ لَا يَشْهَدُونَ ٱلزُّورَ “aur vo jhooti gawaahi nahi dete
jhooti gawaahi na dena yaani jahaan kahi kisi galat baath ke liye jhoot ka sahara liya jaye aisi baath me shaamil na hona ya kisi jhoote maamle me kisi ka gawaah na banna
11.Behudaa jagahon me na jana
وَإِذَا مَرُّوا۟ بِٱللَّغْوِ مَرُّوا۟ كِرَامًۭا”aur vo log jab kisi behuda jagah se guzarte hai tho sharafath ke saath nikal jate hai “
jab onka guzar kisi behuda jagah se hota hai yani kahin koi gunah kao kaam naach gaana ho raha ho tho vahan se vo nikal jate hai vahan aisi jagoh par nahi teherte
12.Deen ki baathen gaur se sunte hai
وَٱلَّذِينَ إِذَا ذُكِّرُوا۟ بِـَٔايَـٰتِ رَبِّهِمْ لَمْ يَخِرُّوا۟ عَلَيْهَا صُمًّۭا وَعُمْيَانًۭا “aur vo log jab onke samne allah ki ayathen sunai jati hai tho behre aur andhe ho kar nahi sunte”
naik bandon ki sifat ye hoti hai ke allah ke deen ki baathen gaur se shawq ke saath sunte hai aur unn par mukammal amal karne ki koshish karte hai
13.Apne ghar valon ko deendaar banane ki dua karna
وَٱلَّذِينَ يَقُولُونَ رَبَّنَا هَبْ لَنَا مِنْ أَزْوَٰجِنَا وَذُرِّيَّـٰتِنَا قُرَّةَ أَعْيُنٍۢ وَٱجْعَلْنَا لِلْمُتَّقِينَ إِمَامًا “aur vo log ye kehte hai aye hamaare rab hamaari biwiyon aur hamari aulaad ko hamare liye ankhon ki thandak bana aur hame muttaqiyon ka imaam bana”
naik bandon ko sukoon sirf iss baath se milta hai ke oske ghar vale deendaar hai vo khud bhi deendaar hote hai aur apne ghar valon ko bhi deendaar banane ki fikr karte hai aur logon ko bhi deen ki dawath dete hai apni aulaad ko deen ka khidtamath guzar banane ki fikr karte hai
tho ye thy vo aamaal jiki wajah se ham bhi apne aap ko Ibadur Rehmaan ki list me shaamil kar sakte hai
allah se dua hai ke allah hame naik hidayat de aur gunahon se bachne ki tawfiq ata kare Aameen