Jumma ki fazilath aur Sunnathien

a brown misbaha on blue quran

Jumma eid ul momineen hai aur iss din ki ahadees me kai zyada fazilathen aai hai. Iss din ke baare me bayan karte hue Rosool allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya dino me sab se behtar din jis me suraj nikalta hai vo jumma ka din hai isi din hazrat adam paida hue isi jin jannath me dale gaye aur isi din jannath se nikale gaye (Muslim : 1976)

Aur iss mubarak din per Rasool sallallahu alaihi wasallam ne hame kuch kaam bataye hai jinka karna hamare liye zaroori hai. Aur vo kaam ye hai

1.Gusul karna

✳️ Hazrat Abdullah bin amr raziallahu anhu farmate hai ke rasool allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya tum me koi shaks jumma ki namaz ke liye aana chahe tho ose gusul kar lena chahiye (Bukhari : 877)

2.Khushbo lagana

✳️Salman farsi raziallahu anhu farmate hai rasool allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs jumma ke din gusul kare aur khoob acchi tarah se paaki hasil kare aur tel ka istemaal kare ya ghar me jo khusboo ho istemaal kare phir namaz ke liye nikle aur masjid pahonch kar do admiyo ke darmiyaan na ghuse phir jitni ho sake nafil namaz padhe aur jab imaam khutba shuru kare tho khamosh sunta rahe tho oske iss jumma se le kar dosre jumma tak saare gunah maaf kar diye jate hai(Bukhari : 883)

3.Masjid paidal chal kar jana

✳️Abaya bin rifa’a ne kaha ke mai jumma ke liye ja raha tha raaste me abu abas raziallahu anhu se meri mulaqaath hoi onho ne kaha maine rasool allah sallallahu alaihi wasallam se suna hai ke jis ke qadam khuda ki raah me gubbar aalood ho gaye allah ose jahannam per haraam kar dega(Muslim : 907)

4.Masjid ke liye jaldi nikalna

✳️Abu huraira raziallahu anhu farmate hai ke rasool allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jab jumma ka din hota hai tho masjid ke darwazo per farishte likhte hai ke falan sab se pehle aaya ose baad vo oske baad vo phir jab imaam mimbar per baithta hai tho sab farishte aamaal name lapait dete hai aur aakar khudba sunne lagte hai aur jo awal aaya oske sawaab ki misaal aisi hai ke jaise ek oont ki qurbani kare oske baad jo aaya vo aisa hai ke koi gaaye ki qurbani kare oske baad jo aaya vo aisa hai ke koi mende ki qurbani kare oske baad jo aaya vo aisa hai ke koi murgi ki qurbani kare oske baad jo aaya vo aisa hai ke koi ek anda allah ki raah me de (Muslim : 1984)

5.Khamoshi se khutba sunna

✳️Abu huraira raziallahu anhu farmate hai ke rasool allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jisne gusul kiya aur jumma me aaya aur jitni taqdeer me thi namaz padhi aur khutba se farig hone tak chup raha phir imam ke saath namaz padhi oske iss jumma se guzishta jumma tak ke gunah bakhshe gaye aur teen din ke aur zyada(Muslim : 1987)

6.Surah kahaf ki tilavat

✳️Rasool allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs jumma ke din surah kahaf padhta hai tho oske liye dosre jumma tak noor jagmagaata hai(Mustadrak al hakim : 3392)

7.Nabi sallallahu alaihi wasallam par darood padhna

✳️Rasool sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jumma ke din aur sabbe jumma me mujh par kasrat se darood padha karo jo shakhs mujh par ek martaba darood padhta hai allah uss par das rehmathein nazil farmate hai (Sunan ul kibri lil baihaqi : 6207)

8.Jumma ki namaz ada karna

✳️Allah quraan me farmata hai : aye imaan valon jab jumma ke din namaz ke liye azan di jaye tho khuda ki yaad ke liye jaldi karo aur khareed o farokht tark kardo agar tum samjho tho ye tumhare haq me behtar hai (Surah jumma : 9)

9.Kasrat se dua karna

✳️Abu huraira raziallahu anhu farmate hai rasool allah sallallahu alaihi wasallam ne jumma ke zikr me farmaya ke iss din ek aisi ghadi aati hai jis me agar koi musalmaan banda khada namaz padh raha ho aur koi cheez allah se mangle tho allah ose vo cheez zaroor deta hai haath ke ishare se aap ne bataya ke vo ghadi bahut thodi si hai (Bukhari : 935)

ye thy vo aamaal. jumma ke din inn aamaal ka karna sunnath hai

Allah se dua hai ke allah hame tere deen par sabit qadam rakhe aur rasool ki sunnathon ko apnane ki taufiq ata farmaye Aameen

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *