Ramzaan Aur Quran

Ramzan vo mubarak mahina hai ke is mahine me allah ne quran majeed ko mukammal lau mehfooz se aasmani duniya yani pehle aasman par othar diya tha oske baad mauqe ke aitebar se thoda thoda zameen par othara ja raha tha jaisa ke allah ka irshaad hai:

شَهْرُ رَمَضَانَ الَّذِي أُنزِلَ فِيهِ الْقُرْآنُ هُدًى لِّلنَّاسِ وَبَيِّنَاتٍ مِّنَ الْهُدَىٰ وَالْفُرْقَانِ ۚ فَمَن شَهِدَ مِنكُمُ الشَّهْرَ فَلْيَصُمْهُ ۖ وَمَن كَانَ مَرِيضًا أَوْ عَلَىٰ سَفَرٍ فَعِدَّةٌ مِّنْ أَيَّامٍ أُخَرَ ۗ يُرِيدُ اللَّهُ بِكُمُ الْيُسْرَ وَلَا يُرِيدُ بِكُمُ الْعُسْرَ وَلِتُكْمِلُوا الْعِدَّةَ وَلِتُكَبِّرُوا اللَّهَ عَلَىٰ مَا هَدَاكُمْ وَلَعَلَّكُمْ تَشْكُرُونَ

“Mahe Ramzan vo hai jisme quran utara gaya Jo logon ko hidayat karne vala hai aur jisme hidayat ki aur haq o batil ki tameez ki nishaniyan hai tum me se jo shaks is mahine ko paa le ose roza rakhna chahiye han jo bimar ho ya musafir ho ose doosre dino me ginti pori karni chahiye allah tala ka irada tumhare saath aasani ka hai sakhti ka nahi vo chahata hai ke tum ginti pori karlo aur allah ki di hoi hidayat par oski badaiyan bayan karo aur oska shukr karo”((Baqrah : 185))

Sirf Ramzan ka mahina hi nahi balke ramzan ke mahine me khaas shabbe qadr ki raath me allah ne quran ko aasmani duniya par yani pehle aasman par othara tha jaisa ke allah ka irshaad hai:

اِنَّاۤ اَنْزَلْنٰهُ فِیْ لَیْلَةِ الْقَدْرِ(1) وَ مَاۤ اَدْرٰىكَ مَا لَیْلَةُ الْقَدْرِﭤ(2) لَیْلَةُ الْقَدْرِ ﳔ خَیْرٌ مِّنْ اَلْفِ شَهْرٍ(3) تَنَزَّلُ الْمَلٰٓىٕكَةُ وَ الرُّوْحُ فِیْهَا بِاِذْنِ رَبِّهِمْۚ-مِنْ كُلِّ اَمْرٍ(4) سَلٰمٌ ﱡ هِیَ حَتّٰى مَطْلَعِ الْفَجْرِ(5)

“yaqinan hamne ise shabbe qadr me nazil farmaya, tu kya samajhta hai ke shabbe qadr kya hai, shabbe qadr ek hazar mahinon se afzal hai, iss me har kaam ke anjaam dene ko allah ke hukm se farishte aur rooh otarte hai, ye raath sarasar salamathi ki hai, fajr ke tulu hone tak”

gooya ke Ramzan aur quran ka bada gehra talluq hai aur isliye iss mahine me quran ki tilawat kasrat se karni chahiye aur aam taur par hota bhi yahi hai ke aam dino ke muqable me ramzan ke mahine me quran ki tilawat bhoot zyada ki jati hai jo ke acchi baath hai ma sha allah… lekin afsoos ki baath ye hai ke Ramzan ka chand dekhte hi khaas kar aurthon aur ladkiyon me quran ki race shuru ho jati hai aur rozana vo ek dosre se pochti rehti hain ke aaj aap ne kitne paare padhe kitne ruku padhe…aur iss race me vo tajweed balke aarab ki galtiyon ka khayal bhi nahi karti hain jabke quran me 17 maqamaat aise hai jahan araab ki choti galti ki wajah se insaan musalman se kaafir ke darje par chala jata hai nauzubillah…isi liye allah ne quran majeed me irshaad farmaya:

وَرَتِّلِ ٱلۡقُرۡءَانَ تَرۡتِيلًا

“Aur Quran ko teher teher kar padho” ((Muzammil: 4))

aur ek hadees me Nabi salla allahu alaihi wasallam ne farmaya لَيْسَ مِنَّا مَنْ لَمْ يَتَغَنَّ بِالْقُرْآنِ jo quran ko Khush lehani se na padhe vo ham me se nahi hai ((Abu Dawood : 1469))

lehaza agar ko quran ki tilawat karna chahata hai aur quran ki tilawat ke race me jithna chahata hai tho uski akhri hadh ye hogi ke vo 7 din me 1 martaba quran mukammal padh sakta hai Hadees me “Hazrath abdullah bin Amr bin aas razi allahu anhu farmate hai ke rasool allah salla allahu alaihi wasallam ne mujh se farmaya har mahine me ek quran qatam kiya karo maine arz kiya mujhko tho zyada padhne ki taqath hai aap salla allahu alaihi wasallam ne farmaya accha saath raathon me qatam kiya kar isse zyada mat kar”((Bukhari: 5054))

Ek jagah 3 din ki baath hai ke tirmizi me “Hazrath abdullah bin Amr bin aas razi allahu anhu farmate hai ke rasool allah salla allahu alaihi wasallam ne farmaya vo shaks quran ko nahi samjha jisne 3 din se kam me ise qatam kiya”

Isiliye hame chahiye ke ham quran ki tilawat acchi tajweed makhraj ke saath teher teher kar aur quran ko samajh kar padhne ki koshish karen quran ko tarjuma ke saath padhne ki koshish kijiye taake aap quran ko samajh sake

Allah hame quran ke huqooq ada karte hue kasrat se quran ki tilawat karne ki taufiq ata farmaye Aameen

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *