Ramzan ka isteqbal kaise karen

Allah ka irshaad hai

شَهْرُ رَمَضَانَ ٱلَّذِىٓ أُنزِلَ فِيهِ ٱلْقُرْءَانُ هُدًى لِّلنَّاسِ وَبَيِّنَٰتٍ مِّنَ ٱلْهُدَىٰ وَٱلْفُرْقَانِ فَمَن شَهِدَ مِنكُمُ ٱلشَّهْرَ فَلْيَصُمْهُ وَمَن كَانَ مَرِيضًا أَوْ عَلَىٰ سَفَرٍ فَعِدَّةٌ مِّنْ أَيَّامٍ أُخَرَ يُرِيدُ ٱللَّهُ بِكُمُ ٱلْيُسْرَ وَلَا يُرِيدُ بِكُمُ ٱلْعُسْرَ وَلِتُكْمِلُوا۟ ٱلْعِدَّةَ وَلِتُكَبِّرُوا۟ ٱللَّهَ عَلَىٰ مَا هَدَىٰكُمْ وَلَعَلَّكُمْ تَشْكُرُونَ ((Baqrah : 185))

“maahe Ramzan vo hai jisme quran utara gaya jo logon ko hidayat karne vala hai aur jisme hidayat ki aur haq o batil ki tameez ki nishaniyan hai tum me se jo shaks is mahine ko paa le ose roza rakhna chahiye han jo bimar ho ya musafir ho ose doosre dino me ginti pori karni chahiye allah tala ka irada tumhare saath aasani ka hai sakhti ka nahi vo chahata hai ke tum ginti pori karlo aur allah ki di hoi hidayat par oski badaiyan bayan karo aur oska shukr karo”

Aur surah qadr me irshaad farmaya

اِنَّاۤ اَنْزَلْنٰهُ فِیْ لَیْلَةِ الْقَدْرِ(1) وَ مَاۤ اَدْرٰىكَ مَا لَیْلَةُ الْقَدْرِﭤ(2) لَیْلَةُ الْقَدْرِ ﳔ خَیْرٌ مِّنْ اَلْفِ شَهْرٍ(3) تَنَزَّلُ الْمَلٰٓىٕكَةُ وَ الرُّوْحُ فِیْهَا بِاِذْنِ رَبِّهِمْۚ-مِنْ كُلِّ اَمْرٍ(4) سَلٰمٌ ﱡ هِیَ حَتّٰى مَطْلَعِ الْفَجْرِ(5) ((Qadr : 1-5))

” yaqinan hamne ise shabbe qadr me nazil farmaya, tu kya samajhta hai ki shabbe qadr kya hai, shabbe qadr ek hazar mahinon se afzal hai, iss me har kaam ke anjaam dene ko allah ke hukm se farishte aur rooh otarte hai, ye raath sarasar salamathi ki hai fajr ke tulu hone tak”

Aur hadees me Hazrath Abu bakkar siddik razi allahu anhu farmate hai ke rasool allah salla allahu alaihi wasallam ne farmaya jab Ramzan ka mahina aata hai tho aasmaan ke tamam darwaze khol diye jate hai jahannum ke darwaze band kar diye jate hai aur shayateen ko zanjeeron se jakad liya jata hai ((Bukhari: 1899))

inn dalail me ramzan ki fazilathon aur oski rehmathon ke bare me bataya gaya hai ki ye mahina kitna azeem ul shaan hai ye vo mahina hai ke isme allah ne mukammal quran ko aasmani duniya par yani pehle aasman par othar diya tha oske baad mauqe ke aitebar se thoda thoda zameen par othara ja raha tha ye vo mahina hai ke isme ek raath aisi hai ke isme ibadath karna ek hazar mahinon ki raathon me ibadath karne se zyada afzal hai ye vo mahina hai ke isme roza rakhne wale rozedar ke muh ki boo allah ke nazdeek mushk ki khusbu se zyada pasandida hai aur iss mahine me roza rakhne wale rozedar ke liye farishte magfirat ki dua karte hai ye vo mahina hai ke isme jannat ke darwaze khol diye jate hai aur jahannum ke darwaze band kar diye jate hai aur shayateen ko jakad liya jata hai iss mahine me karne wali har ibadat ka sawab dogna diya jata hai

tho ab bataiye doston itne azeem ul shaan mahine ka isteqbal ham kaise karen.? Jabke ye mahina itni barkathon aur rehmathon wala hai tho is mahine ka isteqbal b otna hi azeem ul shaan hona chahiye..jaise hi is mahine ke isteqbal ki baath aati hai tho aksar logon ke qayal me iss mahine ki mubarak baath dene ka qayal aata hai jaisa ke aaj kal social media par messages forward hote hai ke jisne Ramzan ki khushkhabri sabse pehle sunai oske gunah maaf ho jate hai wagairah…tho ye Ramzan ka isteqbal nahi hai balke ye tho bid’at hai jo ke gumrahi hai iska asal isteqbal tho ye hai ki sabse pehle ham allah se ye dua karen ke allah hame ye mubarak mahina naseeb farmaye aur iss mahine me mukammal sehet ata farmaye aur naik aamal karne ki taufiq de aur gunah ke kaam se dur rakhe aur isi tarah iss mahine ki tayari ke liye shabaan me zyada se zyada roze rakhe aur iss mahine ki aamad par khushi ka izhaar kare aur apne ghar valon aur bacchon ko ramzan ki fazilathon ke bare me batayen aur ramzan ke rozon ke masail khud bhi seekhe aur apne ghar valon ko bhi batayen aur chand dekhne ki dua yaad karayen…aut iss mahine me zyada koshish karen ke apne aap ko zyada se zyada allah ki ibadat me masroof rakhe aur ek mahine ke liye apne tamam tijarathi mamlath ko chod den aur abhi dil me pokhta iraada karlen ke in sha Allah iss baar ramzan ke mahine ko zaya nahi hone denge iss mahine ka poora poora fayda othayenge aur apne liye jahannum se aazadi aur jannath ke husul ka pora intezam karlenge kyunke kya maloom ke phir ramzan hame naseeb ho ya na ho

aur ye baath acchi tarah yaad rakhen ke ramzan khane peene ya raathen jaag kar guzarne ka mahine nahi hai balke ye ibadathon ka mahine hai…kuch log nauzubillah ramzan ki tayari me tarah tarah ke pakwan aur khane peene ki cheezon ke bare me sonchte hai ki kya khana hai aur raathon me jagne ke liye idhar udhar se dhond kar apne liye tarah tarah ke tv darame aur films select karke rakh lete hai taake raathon ko jaagte waqt time paas ho jaye astagfirullah… ramzan time paas ka mahina nahi hai apne aap ko iss tarah ke gunah ke kaam se dur rakhe kyunke allah ne ramzan hame gunah maaf karane ke liye diya hai gunah badane ke liye nahi

allah se dua hai ke allah hame ramzan ka poora poora fayda othane ki taufiq ata farmaye aur hame iss mahine me ibadathen karne aur gunah se bachne ki taufiq ata farmaye Aameen

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *