Ye bhi “Shahadath” hai…

Quran majeed me Allah ka irshaad hai وَلَا تَحْسَبَنَّ الَّذِينَ قُتِلُوا فِي سَبِيلِ اللَّهِ أَمْوَاتًا ۚ بَلْ أَحْيَاءٌ عِنْدَ رَبِّهِمْ يُرْزَقُونَ “aur tum hargiz ye na samajhna ke jo allah ke raah me maare gaye vo murda hai balke vo zinda hai onke rab ke paas onhe rizq diya jata hai ((Al imran : 169))

aur hadees me “Hazrath Abu huraira razi allahu anhu farmate hai ke rasool allah salla allahu alaihi wasallam ne farmaya ke allah ke raaste me jihad karne vale ki misal (aur allah acchi tarah janta hai ke kon allah ke raste me jihad karne vala hai) uss shakhs ki si hai jo raath me barabar ramzan padhta hai aur din me barabar roze rakhta hai aur allah ne apne raste me jihad karne vale ke liye oski zimmedari le li hai ke agar ose shahadath dega toh ose be hisaab o kitaab jannat me dakhil karega ya phir zinda o salamath raha toh maal e ganimath ke saath wapas karega “((Bukhari : 2787))

inke alava quran o hadees me aur bhi kai jagah shahadath ki fazilath ka zikr aaya hai

lekin jaisa hi shahadath ki baath aati hai tho hamare zehen me shahadath ke talluq se yahi aata hai ke shahadath allah ke raah me ladte ladte marna hi shahadath hai jabke hadees me hai ke “hazrath abu huraira razi allahu anhu farmate hai ke rasool allah salla allahu alaihi wasallam ne farmaya shaheed paanch qism ke hote hai tawoon me marne vala shaheed hai pet ki bimari me marne vala shaheed hai doob kar marne vala shaheed hai dab kar marne vala shaheed hai aur allah ke raste me shahadath paane vala shaheed hai”((Bukhari : 2829))

Aur ek hadees me hai ke “Hazrath ubadah bin samith razi allahu anhu farmate hai ke rasool allah salla allahu alaihi wasallam ne sahaba razi allahu anhum ajmain se sawal kiya tum log apne darmiyan shaheed kise samajhte ho onho ne arz kiya ke jo allah ki raah me ladte ladte mara jaye.nabi salla allahu alaihi wasallam ne farmaya is tarah toh meri ummat ke shuhada bahut thode reh jayenge phir aapne farmaya allah ke raste me maara jane vala bhi shaheed hai tawoon ki bimari me marne vala shaheed hai pet ki bimari me marne vala shaheed hai aur nifaas ki halath me marne vali aurat bhi shaheed hai “((Musnad ahmed : 23061))

inn ahadees se ye baath saaf hai ke shahadath sirf yahi nahi ke ham allah ke raste me ladte ladte mare jayen balke shahadath ki kai surathen hai jo ke ahadees me batai gai hai jinka zikr yahan hoga in sha Allah

shahadath ki qismen batane se pehle ek baath maloom karlen ke ye shahadath ki jo surathen qismen batai jayengi ye osi waqt ham par sabit hongi jab ye surathen hamare saath khud ba khud ho jaye na ke ham jaan bojh kar apne aap ko inme daalen aur saath hi saath jab ye ham pe khud ba khud ho jaye toh ham pehle isne bachne ki aur inme jo bimariya batai gai ke jinme marne vala shaheed hoga in sha Allah toh pehle ham apne aap ko osse bachaye aur oska ilaaj karayen oske baad bhi agar kisi ka isme inteqal ho jata hai toh tab vo shaheed hoga aur ye bhi ke uss shakhs ka musalman aur Tawheed parast hona zaroori hai

toh shaheedon me sabse pehli surath jo ke ham sabko maloom hai vo ye hai ke

Allah ka irshaad hai وَلَا تَحْسَبَنَّ الَّذِينَ قُتِلُوا فِي سَبِيلِ اللَّهِ أَمْوَاتًا ۚ بَلْ أَحْيَاءٌ عِنْدَ رَبِّهِمْ يُرْزَقُونَ “aur tum hargiz ye na samajhna ke jo allah ki raah me mare gaye vo murda hai balke vo zinda hai onke rab ke paas onhe rizq diya jata hai” ((Aal imran : 169))

Hazrath Abu huraira razi allahu anhu farmate hai ke rasool allah salla allahu alaihi wasallam ne sahaba se sawal kiya tum shaheed kise samajhte ho onho ne kaha ya Rasool Allah salla allahu alaihi wasallam jo allah ke raste me mara jaye vo shaheed hai aap salla allahu alaihi wasallam ne farmaya tab toh meri ummat me bahut kam shaheed honge logon ne arz kiya ya Rasool Allah phir shaheed kon kon log hai aap salla allahu alaihi wasallam ne farmaya jo allah ki raah me mara jaye vo shaheed hai aur jo allah ki raah me mar jaye(yani hajj aur jihab ko jane vale safar me) vo shaheed hai jo tawoon me mare vo bhi shaheed hai jo pet ke arze se mare vo bhi shaheed hai jo doob kar mare vo bhi shaheed hai ((Muslim : 4941))

Salman razi allahu anhu farmate hai ke maine suna rasool allah salla allahu alaihi wasallam se aap farmate thy allah ki raah ek din pehra dena ek mahina bhar roze rakhne se aur ibadath karne se afzal hai aur jo isi halath me mar jayega toh oska ye amal barabar jari rahega aur oska rizq jari ho jayega aur vo fithna se bach jayega”((Muslim : 4938))

Hazrath uqba bin amir razi allahu anhu farmate hai ke rasool allah salla allahu alaihi wasallam ne farmaya jo allah ke raste me apni sawari se gir kar mar jaye vo shaheed hai ((silsilatul ahadees

“Hazrath sahal bin haneef razi allahu anhu farmate hai rasool allah salla allahu alaihi wasallam ne farmaya jo shaks sacchai se shahadath mange allah se allah osko shaheedon ka darja dega agarcha vo apne bistar par mare ((Muslim : 4930))

“Hazrath Abu huraira razi allahu anhu farmate hai ke rasool allah salla allahu alaihi wasallam ne farmaya ke shaheed paanch qism ke hote hai tawoon me marne vala shaheed hai pet ki bimari me marne vala shaheed hai doob kar marne vala shaheed hai dab kar marne vala shaheed hai aur allah ke raste me shahadath paane vala shaheed hai”((Bukhari : 2829))

“Hazrath hafsa binte sireen ne bayan kiya ke mujhse Hazrath anas bin malik razi allahu anhu ne pocha ke yahya bin sireen ka kis bimari me inteqal hua tha maine kaha ke tawoon me phir onho ne kaha ke rasool allah salla allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tawoon har musalman ke liye shahadath hai” ((Bukhari : 5732))

“Hazrath ubadah bin samith razi allahu anhu farmate hai ke ek martaba nabi salla allahu alaihi wasallam abdullah bin rawaha razi allahu anhu ki iyadat ke liye gaye abhi onke bistar se juda nahi hoe thy ke nabi salla allahu alaihi wasallam ne farmaya kya tum jante ho ke meri ummat ke shuhada kon hai sahaba razi allahu anhum ajmain ne arz kiya ke musalman ka maidane jang me qatal hona shahadath hai nabi salla allahu alaihi wasallam ne farmaya iss tarah toh meri ummat ke shuhada bahut thode reh jayenge phir aapne farmaya ke musalman ka maidane jang me qatal hona bhi shahadath hai tawoon me marna bhi shahadath hai aur vo aurat bhi shaheed hai jise oska baccha maarde” (yani bacche ki paidaish ki takleef bardast na kar sake jiski wajah se mar jaye) (( Musnad ahmed : 23060))

Hazrath ubadah bin samith razi allahu anhu farmate hai ke rasool allah salla allahu alaihi wasallam ne sahaba razi allahu anhum ajmain se sawal kiya tum log apne darmiyan shaheed kise samajhte ho onho ne arz kiya ke jo allah ki raah me ladte ladte mara jaye.nabi salla allahu alaihi wasallam ne farmaya is tarah toh meri ummat ke shuhada bahut thode reh jayenge phir aapne farmaya allah ke raste me maara jane vala bhi shaheed hai tawoon ki bimari me marne vala shaheed hai pet ki bimari me marne vala shaheed hai aur nifaas ki halath me marne vali aurat bhi shaheed hai “((Musnad ahmed : 23061))

“Hazrath Abu huraira razi allahu anhu farmate hai ke rasool allah salla allahu alaihi wasallam ne farmaya ke shaheed paanch qism ke hote hai tawoon me marne vala shaheed hai pet ki bimari me marne vala shaheed hai doob kar marne vala shaheed hai dab kar marne vala shaheed hai aur allah ke raste me shahadath paane vala shaheed hai”((Bukhari : 2829))

Hazrath Abu huraira razi allahu anhu farmate hai ke rasool allah salla allahu alaihi wasallam ne farmaya ke shaheed paanch qism ke hote hai tawoon me marne vala shaheed hai pet ki bimari me marne vala shaheed hai doob kar marne vala shaheed hai dab kar marne vala shaheed hai aur allah ke raste me shahadath paane vala shaheed hai”((Bukhari : 2829))

Hazrath rabi ansari razi allahu anhu farmate hai ke rasool allah salla allahu alaihi wasallam mere bhai jabar ansari ki iyadat ki toh onke ghar vale onke paas rone lage onko jabar ne kaha rasool allah salla allahu alaihi wasallam ko takleef na do toh rasool allah salla allahu alaihi wasallam ne farmaya jab tak zinda hai onko rone do aur jab fauth ho jaye toh khamosh ho jaye baaz ne kaha ham dekhte hai ke aap(jabar ansari) apne bistar par hi mar rahe hai aapko allah ki raah me rasool allah salla allahu alaihi wasallam ke ladte hue shaheed hona tha toh rasool allah salla allahu alaihi wasallam ne farmaya tum shaheed osko kehte ho jo allah ki raah me mara jaye phir toh meri ummat ke logon me shuhada bahut kam honge taan aur tawoon se marne vala shaheed hai pet ki bimari me marne vala shaheed hai aur halath e nifaas me marne vali aurat bhi shaheed hai aur jalne vala shaheed hai aur doob kar marne vala shaheed hai aur dewar ke neeche dab kar marne vala shaheed hai” (( Al mua’jamul kabeer lit tabrani : 4472))

” Hazrath uqba razi allahu anhu farmate hai ke rasool allah salla allahu alaihi wasallam ne farmaya nimoniya ki bimari ki wajah se marne vala shaheed hai”((Silsilatul ahadeesus sahiha : 1783))

“Abu mosa razi allahu anhu farmate hai ke rasool allah salla allahu alaihi wasallam se poocha gaya vo shaks jo ladta hai bahaduri dikhlane ko ya apni qaum aur kombe ki izzat ke liye ya ladta hai numaish ke liye toh konsa ladna allah ki raah me hai aap salla allahu alaihi wasallam ne farmaya jo iss liye lade ke allah ka kalma buland ho vo allah ki raah me hai”((Muslim : 4920))

“Hazrath sayeed bin Zayed razi allahu anhu farmate hai ke rasool allah salla allahu alaihi wasallam ne farmaya jo shaks apne maal ko bachate hue mara jaye vo shaheed hai aur jo shaks apne ghar valon ka difa’a karte hue mara jaye vo shaheed hai aur jo shaks apne deen ki khatir mara jaye vo shaheed hai aur jo shaks apni jaan bachate hue mara jaye vo bhi shaheed hai”((Sunan nasai : 4100))

“Hazrath sayeed bin Zayed razi allahu anhu farmate hai ke rasool allah salla allahu alaihi wasallam ne farmaya jo shaks apne maal ko bachate hue mara jaye vo shaheed hai aur jo shaks apne ghar valon ka difa’a karte hue mara jaye vo shaheed hai aur jo shaks apne deen ki khatir mara jaye vo shaheed hai aur jo shaks apni jaan bachate hue mara jaye vo bhi shaheed hai”((Sunan nasai : 4100))

“Hazrath Abu huraira razi allahu anhu farmate hai ke ek shakhs rasool allah salla allahu alaihi wasallam ke paas aaya aur arz kiya ya Rasool allah salla allahu alaihi wasallam aap kya farmate hai ke agar koi shakhs mera maal na haq lene ke liye aaye toh aap salla allahu alaihi wasallam ne farmaya osko apna maal mat de phir osne kaha agar vo mujhse lade toh aap salla allahu alaihi wasallam ne farmaya ke toh bhi osse lad phir osne kaha agar vo mujhko maar dale toh aap salla allahu alaihi wasallam ne farmaya toh tu shaheed hai phir osne kaha agar mai osko maar dalon toh aap salla allahu alaihi wasallam ne farmaya vo jahannum me jayega “(( Muslim : 360))

“Hazrath Abu Jafar rehmahu allah alaihi bayan karte hai ke mai hazrath suwaid bin maqran razi allahu anhu ke paas baitha tha onhone kaha ke rasool allah salla allahu alaihi wasallam ne farmaya jo shaks apne haq ki khatir ladta hua mara jaye vo shaheed hai”((Sunan nasai:4101))

toh ye thi vo halathen aur qismen jinme marne vala shaheed hai agarche ko muslman aur muwahid ho pehle apne aap ko inche bachane ki pori koshish kare aur oske baad bhi ose agar maut aa jaye toh in sha Allah vo shaheed hoga

Allah se dua hai ke allah hame shahadath vali acchi maut ata farmaye Aameen…

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *